Mafia apne dushman ko kabhi maaf nahi karta ... bhool se bhi yeh baat bhool mat jana
Unknown
Aapke dushman pe humne aisi dushmani nikali hai ... ki agar woh dushman bhi apne dushman ko dekh le na ... toh woh apni dushmani bhoolke us dushman pe taras khane lagega
Arshad Warsi
Rajneeti mein matbhed ho sakta hai ... dushmani nahi hogi
Naseeruddin Shah
Idhar aa raqeeb mere tujhe main gale se laga loon ... mera ishq bemazaa tha teri dushmani se pehle
Jimmy Shergill
Kanoon ke dushmano ko main chitta ki raakh bana deta hoon
Dharmendra
Dhanda badalne se dushman nahi badalte
Ek dushman ko doosre dushman se lada dena chahiye ... nuksaan chahe kisi ka bhi ho ... fayda hamesha hamara hota hai
Sunil Shetty
Jiske tere jaise dost ho na ... woh dushman ke ghar shift ho jaye, wohi behtar hai
Humse dushmani modh lekar tumne zehareelay bichhoo ka dank apne shareer mein gaadh liya hai ... aur bichhoo ke dank se aadmi marta nahi hai ... zindagi bhar tadapta aur sisakta rehta hai ... tum bhi jab tak jeeoge tadapte aur sisakte hi rahoge
Rekha
Ladai ke maidan mein dushman kitna bhi khatarnak kyun na ho ... zakhmi sipahi apni jung khud hi ladta hai
Raj Babbar
Har smuggler desh ka gaddar hota hai ... aur charas ka smuggler apne desh ka hi nahi ... sari insaaniyat ka dushman hota hai
Dushman ka dushman dost hota hai
Jung mein jab dushman samne ho, toh baaton mein waqt zaya nahi karte
Kehte hai ek naya dushman aksar ek purana dost hota hai
Dushmani nikalne ke liye dost banana bahut zaroori hai ... aur peeth par chura bhaukne ke liye gale milna bahut zaroori hai
Ishrat Ali
Mazloomo ka maseeha, dushmano ke liye phanda ... seena hai faulad ka, naam mera Govinda
Mithun Chakraborty
Desh se badhkar koi nahi hai ... na rishtey, na naate, na sambandh, na koi bandhan ... iski mitti se mohabbat mera imaan hai, wafaadari mera karam ... is dharti ka dushman chahe bahar ho ya andar, chahe apna hi khoon ho ... uska sarvanash kar dena hi mera dharam hai, mera imaan hai, mera farz hai, meri puja hai ... mujhe yeh kasam hai, mujhe yeh kasam hai, mujhe yeh kasam hai
Sheeba
Dushmani aur nafrat se zameen par lakeerein kheenchi ja sakti hai ... dilon par nahi
Akshaye Khanna
Ek hum hai joh dushman ke khoon se mohabbat karte hai ... aur ek tum ho joh apne hi khoon ke dushman ban gaye ho
Mukesh Khanna
Zulm ki talwar jab bhi mayaan se bahar nikalti hai ... toh pehla khoon insaaniyat ka behta hai ... fasaad ki aag jahan bhi lagti hai ... usmein saare ghar begunahon ke jalte hai ... khoon ki Holi khelte toh hai dushman ... lekin rang mazloomon ke lahu ka bahaya jaata hai
Parikshat Sahni
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory