Jab main dushmani pe utar aata hoon ... toh insaan ko pataal mein bhi chain naseeb nahi hota
Unknown
Mere faisle se apne hairaan aur dushman veeraan hote hai
Aditya Pancholi
Aapke liye main zehar ko dhood ki tarah pee sakta hoon ... lekin apne khoon mein aapke liye dushmani ke keeday nahi paal sakta
Raaj Kumar
Agar sawaal mere gaane ka nahi tumhare naam ka hai, toh tum dushman ho ... agar kadar mere phan ki nahi tumhare vaade ki hai, toh tum dushman ho ... agar mera muqaddar tumhare reham ka mohtaj hai, toh tum dushman ho ... mujhe tumhare kandhe par pair rakh kar apna kadh badane ka koi shaunk nahi
Madhavan
Langoor ki dumm par angoor ki bail ... ab ho jayega dushmanon ka engine derail
Shakti Kapoor
Main nafrat ke mohron se dushmani ka shatranj ussi ki bisaat pe khelonga ... aur aaisi maat doonga, aaisi maat doonga ki maut bhi roo padegi
Dushmani toh aag ki tarah hoti hai ... jis mein jalne waala toh jalta hi hai ... magar jalane waale ko bhi shanti nahi milti hai
Kader Khan
Ahinsa ko hathyaar banakar dushmano se ladna chahiye
Joh hamari jaan ka dushman na ho ... hum uski jaan nahin lete
Danny Denzongpa
Kabira khada bazaar mein, sabki maange khair ... na kahu se dosti, na kahu se bair
Rajendra Kumar
Ek goli ek dushman ... do gaz ka faasla aur do gaz zameen ... file closed
Neil Nitin Mukesh
Shaq ka kaante bahut zeharilay hote hai ... joh do dilon ke beech dooriyan bhi pehda kar dete hai aur dushmani bhi
Mere baap ne mera naam Premanand is liye rakha hai ... ki main hamesha prem aur anand mein rehta hoon ... lekin jab koi hamara nuksaan karta hai toh hamara kroadh prem par haavi ho jaata hai ... aur hum dushmano ke liye Kroadhanand ban jaate hai
Sadashiv Amrapurkar
Insaan aur insaaniyat ka toh main paidahishi dushman hoon ... mera bas chale toh main insaaniyat ka khoon aaise nichhod loon ... jaise log kisi phal mein se uska ras nichhod lete hai
Dushman agar taqatwar ho ... toh usse talwar se nahi balki dimaag se maarna chahiye
Pramod Moutho
Main tujhe aaisi maut maroonga ... joh maut kisi dushman ne kisi dushman ko bhi na di hogi
Vinod Khanna
Sagad Singh dushman ke dost ko bhi apna dushman manta hai
Jahan faulaad bhi kaam nahi aata, wahan kali kaam aati hai ... apne husn ki chamak se, dushman ko andha banati hai
Suman Ranganathan
Dard mitane ka sabse aasaan tareeka kya hota hai ... apna dard dushman ko lauta do
Ghayal sher aur taqatwar dushman ka shikaar karne mein bahut mazaa aata hai
Amrish Puri
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory