Filmy Quotes

Drama
Drama

(Page 51 of 176)
# 1001

Aaj tak tum bolte aaye aur main sunta aaya ... aaj main bolonga aur tum sunoge


Till today you said and I listened ... today I will say and you will listen

# 1002

Khoon se likhi huyi kahani hai yeh, siyahi se nahi badegi ... agar aage badana hai toh phir se khoon hi maangegi


This story has been written with blood, and it won't move forward with ink ... if we have to take it further then it'll ask for blood again

# 1003

Har kahani ke na bahut pehlu hote hai ... farak bas yeh hota hai ke kahani suna kaun raha hai


Every story has many facets ... the difference just lies between who's reciting the story

# 1004

Hum gareebon ke paas ek hi chaddar hoti hai ... joh aankh khuli rehne tak oodhi jaati hai ... aankh bandh ho jaane ke baad us hi ka kafan bana diya jaata hai


We poor people only have one blanket ... which is used to cover as long as the eyes are open ... and when the eyes get closed then the same is turned into a shroud

# 1005

Pehle tum door thi aur main pass aana chahta tha ... ab tum pass ho par door jana meri majboori hai


First you were far away and I wanted to come near ... now you are near and I'm compelled to go far away

# 1006

Apne bachchon ke khatir kabhi na kabhi har maa ko rona padta hai ... koi aasoon bahakar roti hai aur koi aasoon peekar


Every mother has to cry for her children at some point or the other ... some cry by shedding tears and some by drinking the tears

# 1007

Band aankhon se insaan sirf sapna hi nahi ... kabhi kabhi us haqeeqat ko bhi dekh leta hai ... jisse khuli aankhen kabhi nahi dekh paati


With closed eyes a person not only sees a dream ... but sometimes he also sees that reality ... which he would have never seen with his open eyes

# 1008

Khushkismati sirf ek baar darwaza khatkhatati hai ... lekin badkismati tab tak darwaza khatkhatati hai jab tak darwaza khul na jaye


Good luck only knocks on the door once ... but bad luck keeps knocking on the door until that door opens

# 1009

Koi kaam chota nahi hota ... kaam karne waale chote hote hai


No work is small ... the people who do the work are small

# 1010

Is duniya mein har insaan ko khud ladna padta hai ... khud haarna aur khud hi jeetna padta hai


In this world every person has to fight by themselves ... he himself has to lose and he himself has to win

# 1011

Joh har haath ko haath aur har kisi ka saath deta hai ... wohi toh Krrish hai


One who gives a hand to everyone and stands by everyone ... is Krrish

# 1012

Aaj har lamha ek jeevan ki tarah jeeyenge


Today we will live every moment like an entire life

# 1013

Prithviraj Raghuvanshi satya ko Ram Ram kare hai ... par jhoote ka Ram naam satya kare hai


Prithviraj Raghuvanshi salutes the truth ... and he kills the person who lies

# 1014

Anpad ke pass padhe likhon ke sawaal ka jawab nahi hota


An uneducated person doesn't have the answer to the questions of an educated person

# 1015

Kapde badalne se aadmi ki asliyat nahi badal jaati


The reality of a man does not change by changing clothes

# 1016

Jhoot aksar bahut aasani se gaale se neeche utar jaata hai ... sach ko nighalna bahut kathin hai


A lie can be swallowed pretty easily ... but it is very hard to swallow the truth

# 1017

Maut ek khayal hai jaise zindagi ek khayal hai


Death is a thought just like life is a thought

# 1018

Agar zulm karna paap hai ... toh zulm sehna bhi paap hai


If it is evil to do injustice ... then it is also evil to endure the injustice

# 1019

Science jism ko jaanta hai ... aatma ko nahi


Science knows the body ... not the soul

# 1020

Jab bhook lagti hai na toh pet yeh nahin poochta ... ki yeh roti imaandari ki hai ya baimaani ki


When one is hungry then the stomach doesn't ask ... whether this bread is from honesty or cheating

Recently Added

Box Office Winners


Movies Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ#

Stars Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ

Copyright © FilmyQuotes.com