Jurm ke raaste kitne bhi makhmali kyun na hoon ... khatam toh jail ke kambal mein hi hote hai
Agar kisi cheez ki lat padh jaye ... toh woh lat aadmi ki pehchaan ban jaati hai
Gufaa mein andhera kitna hi ho ... kinaare pe roshni zaroor hoti hai
Desh se wafaadari kisi ek shaksh se gaddari se kahin zyada badhkar hoti hai
Gaadi chahe kitni bhi tezz ho ... usse rokne ke liye ek keel kafi hai
Insaan ki dukhti rug uski har taqat se badhkar hoti hai
Garam joshi achchi cheez hai ... lekin agar hadh se badh jaye toh khud ko jaala deti hai
Dhande mein dost dushman hota hai
Yeh duniya pyar ki sirf baatein karti hai ... chalti jung pe hai
Sab yeh sochte hai ki hero woh hota hai joh jeetta hai ... mera yeh manana hai ki hero woh hai joh haarta hai ... kyun ki wohi jaanta hai jeetne ki asli value
Main case aur face kabhi nahi bhoolta hoon
Machli chahe kitni bhi tezz ho ... ek baar kaante mein phas jaye toh kilo ke bhav bikti hai
Meri vardi pe medal bahut lage hai ... par daag sirf ek
Agar mere upar ek bhi goli chali ... toh teri khopdi mein itni goliyan hongi ... ki bheje ke liye jagah nahi bachegi
Woh dus maarenge aur tu ek maarega ... us ek mein dus ka vazan hoga
Joh kehne ko aaya tha ... ankahi hi reh gayi woh baat ... sab baaton ke baat
Har cheez ka first time hota hai
Is line mein experience nahi ... daring ka zaroorat hai
Main dhande ke liye marne ko tayaar hai ... par tu sirf mujhe maarne ke liye ... marne ko tayaar hai?
Jab ghee seedhi aur tedhi dono ungliyon se na nikle ... toh beech ka rasta apnana padta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory