Zindagi bhi ajeeb hai na ... jab aap jeena chahte hai, toh jeene nahi deti ... aur jab jeene ki sari khwaish chhod dete hai, tab kehti hai jeeyo
Jism ki maut insaan ki maut nahi hoti
Jab aulad ki zindagi ka sawaal ho ... toh maa din aur raat nahi dekhti
Aadmi apni buraiyon ke liye doosron ko dosh deta hai ... par sach toh yeh hai ... ki aadmi ke bheetar chupi apni hi koi kamzori hoti hai jiske kaaran woh bura banta hai
Rishtey ka steering wheel chahe apne haath mein ho ... backseat driving family hi karta hai
Sharafat se baat karo taaki main tumhe sharafat se jawaab de sakon
Ek patni apni pati ke liye apne armaano ka khoon toh kar sakti hai ... lekin ek maa apni aulad ki khushi ke liye sari duniya se takra sakti hai
Koi rishta pakka nahi hota ... maut aati hai toh pakke se pakka rishta bhi kachi maati ki tarah toot jaata hai
Joh insaan pyar na kar sake aur pyar na samajh sake ... usse bada badnaseeb aur koi nahi hai
Pachtave ke ek aasoon se ... saare gunaah bhagwan bhi maaf kar deta hai
Kom toh bas ek hai ... insaan ki
Tum logon ne mere pe vishvas kiya aur maine tumhare saath vishvasghat kiya ... tum logon ne meri jai-jai-kaar ki aur maine tumhari peeth mein chura bhaunka
Joh rishta swarth ke dhaago se bandha ho ... uske toot jaane mein koi harj nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory