Khushkismati sirf ek baar darwaza khatkhatati hai ... lekin badkismati tab tak darwaza khatkhatati hai jab tak darwaza khul na jaye
Tanaaz Currim Irani
Zulm aur jhoot ki dhaali par ek baar phal lagta hai ... dobara nahi
Manoj Kumar
Roti kamane ke liye aurat ghar se nikli nahi ... ki tankha dene waala har aadmi usse apne baap ka maal samajhta hai
Madhuri Dixit
Chot ko apni taqat bana ... kamzori nahi
Sunny Deol
Aadmi woh nahi hota hai joh woh dikhata hai ... aadmi woh hota hai joh woh chupata hai
Rajeev Khandelwal
Jinko zindagi mein pyar karte hai na ... woh hum mein hamesha nahi milte
Sarika
Aasoon kamzor logon ke zevar hote hai
Anil Kapoor
Haath mein bandook lekar apne aap ko bahadur samajhna utna hi aasaan hai ... jitna kisi nihatte ko buzdil samajhna
Naseeruddin Shah
Pyar ka teer waqt ka mohtaj nahi hota
Shilpa Shirodkar
Noton ka malik wahi hota hai ... joh unhe apni jeb mein rakhta hai
Prem Chopra
Aurat pe haath uthana ... namard ki pehli nishaani hai
Shatrughan Sinha
Sher Khan baimaani ka dhanda bhi imaandari se karta hai
Sanjay Dutt
Humne saanp ko doodh pilaya ... par hum doodh pila sakte hai, toh uska sar bhi kuchal sakte hai
Shammi Kapoor
Bachpan mein humne isse khelne ke liye khilona nahi diya ... toh aaj yeh hamari bhavnaon ke saath khel raha hai
Amitabh Bachchan
Joote ki talli kitni bhi moti ho ... ghisat zaroor hai
Akhilendra Mishra
Main markar bhi na mar saka ... aur na hi jeekar jee sakta hoon
Rishi Kapoor
Jab aulaad dushman ban jaye ... toh maa baap ko atmahatya kar leni chahiye
Mithun Chakraborty
Haddein jitni zyada hongi ... unke tootne ka darr bhi utna hi hoga
Kiron Kher
Tum achcha kaam karne waala ek bura insaan hai
Dushmani aur dosti agar ghaadi na ho ... toh us mein koi rang nahin aata
Raaj Kumar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory