Aao ab hum laut chale apne logon mein, apni basti mein ... jahan pyar hai, apnapan hai, sukoon hai
Akshaye Khanna
Har modh pe mile jaate hai humdard hazaron ... shayad meri basti mein adakaar bahut hai
Govinda
Aapki nazaron mein paisa pyar aur bhagwan dono se bada hai ... aap samajhte hai joh madhurta paison mein hai woh Sharda ke sitar mein, Vishnu ke shank mein nahi ... aap samajhte hai joh sundarta paison mein hai woh Rati ki surat mein nahi, swarg ki jhanki mein nahi ... paise mein joh pavitatra hai woh Ganga ke pani mein nahi, Savitri ke daman mein nahi ... paise mein joh taqat hai woh maa ke aashirwad mein nahi, devtaon ke zubaan mein nahi ... satya, shiv, sundar sab paisa hai ... jiske paas paisa hai woh raja aur jiske paas paisa nahi woh Raju?
Meri pahunch Delhi se lekar shamshan ghat tak hai ... awaaz Delhi tak jaati hai aur dushman shamshan tak chala jaata hai
Kiran Kumar
Bahut logon ne mujhe use kiya hai ... but I have to say you're the best
Deepika Padukone
Jinke irrade buland ho ... woh sadko ki nahi, aasmano ki baatein karte hai
Sunny Deol
Burai kitni bhi badhi kyun na ho ... achchai ke samne bahut choti lagti hai
Feroz Khan
Tann pe jitne kapde hai ... ussi ko main apna kafan maanke chalta hoon
Salman Khan
Insaan ki pehchaan tann se nahi ... mann se ki jati hai
Ajit Vachani
Aise kaam ke liye himmat ki zaroorat nahi hoti ... sirf iraada hona chahiye
Everything is fair and love is war
Akshay Kumar
Is duniya mein aadmi insaan ban jaye ... toh bahut badi baat hai
Shashi Kapoor
Aaj ka andhera bahut gehra aane wala hai ... aur khamoshi kaan phaad
Anil Kapoor
Aulaad nalayak nikle toh usse bhool jaana chahiye ... sirf uska bachpan yaad rakhna chahiye
Amitabh Bachchan
Jeet hamesha bhagwan ki hoti hai ... shaitan ki nahi
Unknown
Awaaz toh teri ek din main neechi karoonga ... sher ki tarah garajne waala ... billi ki zabaan bolega
Pran
Kehte hai ki jab bachche ke zid baap poori na kar sake ... toh woh apni maa ke paas chala jaata hai
Ameesha Patel
Life style se nahi chalti ... uske liye kuch kaam kaaj karna zaroori hota hai
Supriya Karnik
Bhatka hua insaan, aag ki bhatki hui lapton jaisa hota hai ... inka koi rukh, koi disha nahi hoti
Jab taqat andhi ho jati hai ... toh woh taqat nahi vaishat ban jati hai
Dimple Kapadia
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory