Jaako raakhe saaiya maar sake na koi ... aur jaako maare saaiya usse bacha sake na koi
Moushumi Chatterjee
Jab tak main tujhe maar nahi deta ... maut bhi mujhe maar nahi sakti
Sunil Shetty
Marne waala chahe apne aap ko lohe ki deewaron mein bhi band karle ... bach nahi sakta ... aur jeene waala chahe lakhon goliyon ki bauchaar se guzar gaye ... mar nahi sakta
Shatrughan Sinha
Mere kanne chakku hai!
Shakti Kapoor
Joh hamara taraf aankh uthayega, hum uska aankh phod dalega ... joh saala awaaz uthayega, hum uska zubaan kaat dalega ... aur joh sar uthayega, uska sar todh dega
Sharat Saxena
Chahe insaan ki gardan ho ya telephone ka taar ... katne mein zyada waqt nahi lagta
Danny Denzongpa
Mera beeta hua kal, mera aaj aur mera aane waala kal ... teeno par khoon ke dastakhat hai ... kal mere haathon ek khoon hua tha ... aaj main ek ek din apni nazaron mein nafrat bharkar ek aur khoon karne ki taqat jutta rahi hoon ... aur kal mere haathon ek aur khoon hoga
Deepa Sahi
Jaise daane daane par khane waale ka naam likha hota hai ... vaise hi meri har goli par marne waale ka naam hota hai
Sadashiv Amrapurkar
Goli chalate waqt na tum mujhse kahoge ki mujhe maaf kardo ... aur na main tumse kahoongi ki mujhe maaf kardo
Sheeba
Aatma ek magar naam do, Kishen Kanhaiya ... ab dekhna main kaise bajata hoon inka band bhaiya
Anil Kapoor
Aapke pichwade pe aaisi laat maroonga na ... super duper bumper banake rakh doonga
Shreyas Talpade
Tumhe toh woh takleefen deke maaronga ... jinke bare mein tumne na kabhi kitaabon mein padha hoga ... na kahaniyon mein suna hoga
Subbiraj
Mujhe iska itna lahu bahana hai ... ki yeh safed ho jaye aur dharti laal
Main tumhe ek saath kahi mautein doonga
Usse giraftar mat karna, uspar muqadma mat chalana, usse phansi ki sazaa mat dena ... kuch bhi ho jaye usse zinda mat chhodna
Preeti Jhangiani
Jis din nazar aaoge na ... us din tumhari zindagi ko sametkar maut ki chaadar mein lapet doonga
Kiran Kumar
Nakhoon joh uthaya toh khoon kar dega ... kadam joh badaya toh dum todh dega
Naseeruddin Shah
Sher ke panjon se hirni chhut sakti hai ... makari ke jaal se makhkhi chhut sakti hai ... magar Zantala ke haathon se ladki nahi chhut sakti
Tinnu Anand
Agar aaj woh mere samne aaya ... toh jitni uske jism mein haddiyan bhi nahi hongi ... usse zyada goliyan uske jism mein hongi
Unknown
Is kamine ki haddiyon ka toh main soorma banaonga
Prem Nath
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory