Aag se aadmi tabhi bach sakta hai jab woh khud aag ban jaaye
Unknown
Iski laash ke itne tukde banenge ... ki rone waala yeh bhi samajh nahi payega ki kis tukde ko pakadkar roye
Danny Denzongpa
Yeh woh danda hai joh badan pe pade toh chamdi phatti nahi hai ... dard haddiyon tak ghus jaata hai
Main sirf teri jaan lena nahi chahta ... main yeh chahta hoon ki tu tadap tadapkar mare ... guzarne waala har pal tujhse kahe ki yamdoot tere peeche peeche aa rahe hai
Rajeev Verma
Jis tarah se bomb mein aag lagte hi saat second ke andar barood phatke bahar nikal jaata hai ... ussi tarah se Shambu saat dino ke andar jail ki char deewari se bahar nikal jayega
Shatrughan Sinha
Main Trishanku ki tarah hoon ... chahe mere haath pair cheer daalo, tukde tukde kar dalo ... main phir ek ho jaonga ... yahi meri fitrat hai
Mukesh Rishi
Hamare raston par charon taraf petrol hi petrol bicha hua hai ... kaun, kab mauke ka fayda uthakar uspar jalti hui maachis uchaal de ... aur kis modh par hamari zindagi ka safar khatam ho jaye ... yeh hum bhi nahi jaante
Pran
Jisne mere bhai ka khoon bahaya hai ... main usse uske khoon mein nehlake rakh doonga
Dharmendra
Mazloomon ka saathi, bebason ka bhai ... aur ablaon par zulm karne waalon ke liye kasai hoon main
Agar maarna chahte ho toh che ki che goli humri khopadiya mein utaar do ... kyun ki agar humre jism mein thodi bhi jaan reh gayi ... toh hum tujhko jaan se maar daalonga
Mukesh Khanna
Ek foot ki lohe ki nalli aur dedh inch ki barood ki goli ... oont ke mooh mein jeera lagta hai
Sunil Shetty
Jin haathon se tune mere bhai ka khoon bahaya hai ... un haathon ka woh hashar karoonga ki zindagi bhar un haathon ko phailakar maut ki bheek maangti rahegi ... aur maut tere kareeb aane se inkaar karegi
Kader Khan
Aapke paas AK-47 hongi, AK-56 hongi, hazaaron ton RDX hoga ... magar sirf is dande ke darr se aap jaise log nakli passport banwakar jab ek desh se doosre desh bhaagte phirte hai ... toh bhaagne ke liye lakhon meel dharti bhi kam padti hai
Vijayashanti
Main is haramzade ki woh halat banaonga ki vaid aur hakeem bhi pareshaan ho jayenge aur soochenge ... ki thopda kaunsa hai aur haath pair kaunse hai
Manik Irani
Jab tak main uska khoon nahi kar loonga ... na mujhe neend aayegi, na mujhe maut aayegi
Is haramzade ko itni berehami aur bedardi se khatam karo ... ki agla janam lene se pehle iski rooh ... zindagi aur dharti ke naam se kaanp uthe
Anupam Kher
Mera mooh chota hai, khopdi badi ... is liye kam bolta hoon aur maarta zyada hoon
Jab tak saanp ka sar na kuchal do ... usse mara hua mat samajho
Beta rayees ka magar jangju bhi hai ... daulat ke saath saath, ladai ki khubhi bhi hai
Ashok Kumar
Aaj ke baad aapka koi bhi aadmi yahan nazar nahi aana chahiye ... varna aaisi dhulai karoonga ki saath pushton tak aapki aulad ganji pehda hongi
Amitabh Bachchan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory