Yahan bhaagne pe gold medal nahi ... iron medal milega
Unknown
Humse takrane waale ka ek hi anjaam hota hai ... jisse Hindi mein maut aur angrezi mein death kehte hain
Gulshan Grover
Teri maut bankar aaya hoon ... teri laash girakar jaoonga
Mithun Chakraborty
Aaj main tujhe aaisa tamasha dikhaonga ... ki duniya ke saare villian zulm karna bhool jayenge
Maut ko aane ke liye patta nahi poochna parta
Aaj ke baad aane waala har pal ... tum dono ke dil ki dhadkan par hathoda bankar barsega
Yaad rakh, tere paas hamare khilaf proof hai ... magar tera ghar bulletproof nahi hai
Hum mein mooh khulwaane ke hazaron formule malum hai
Usse aaisi maut maroonga ki maut ki rooh bhi kaanp jayegi
Jab tak subah se shaam tak, sattar aadmiyon ko maar kar kha na loon ... dhakaar hi nahi aati
Wahin ruk jao ... nahi toh bandook ki is kalam se tum logon ke seeno par maut ka naam likh doonga
Amitabh Bachchan
Agar tum mein se kisi ne apni jagah se hilne ki koshish ki ... toh tumhare tukdo ko sukhe patton ki tarah hawa mein uda doonga
Joh koi hamare kanoon ke khilaaf bagavat karne ki koshish karta hai ... toh hum usse bina phatak ki railway line par leta kar uski zindagi khatam kar dete hain
Amjad Khan
Is gali mein aaj tak koi policewala nahi aaya ... tum aa gaye ho ... toh vapas nahi jaoge
Main soote huye pe vaar nahi karta
Aaj tune aag mein haath daala hai
Kaale brahman pe haath uthake ... tune shani ki mahadasha ko bulaya hai
Agar maa ka doodh piya hai to saamne aa
(Yeh tum har baat pe dialogue kyun maarte ho?) - Kyun ki har superhit action se pehle ... superhit dialogue zaroori hota hai
Himesh Reshammiya
Sheeshay ke gharon mein rehne wale, chataano ko chunautiyan nahi diya karte ... nishaana chahe kitna bhi pakka kyun na ho, gulel se baaz kabhi mara nahi karte
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory