Aaj ke baad main tujhe kahin bhi, kabhi bhi, kissi bhi waqt maar daloonga
Shatrughan Sinha
Bhaago, chupo, joh karna hai karo ... par main tum sabko dhoond nikalunga ... aur ek ek karke itminan se khatam karunga
Hrithik Roshan
Tum mujhe naam do main tumhe laash doonga
Goli se maarenge toh goli ka naam hoga ... bomb se maarenge toh bomb mashoor hoga ... kisaan ka beta hai hum, bahut dum hai haath mein ... apne haath se maarenge usko aur khud mashoor honge
Rajkummar Rao
Itna goli maaro jitna pradesh ke itihaas mein aaj tak na chala ho
Pehle huyi ladai, phir laathi se unki aisi ki dhulai ... ki sabko nani yaad aayi
Bharat Bhushan
Jab main maarna shuru karta hoon ... na main ginta hoon, na sunta hoon
Sunny Deol
Main jaat hoon ... sar katne ke baad bhi haath hathyar nahi chhodte ... main tujhe aur teri lanka ko yahin phoonk dunga
Yeh haath uthega na toh pura India goonj uthega
Pura Hindustan mera parivar hai aur main Hindustan ka Zuber Hafis ... agar meri satak gayi na toh teri gardan kaat kar vapis apne desh mein le jaaunga
Ajay Devgan
Tum hamare desh ki taraf aankh uthaoge toh hum tumhe bhi maarenge ... aaoge toh maarenge ... bhaag kar kisi aur desh jaaoge toh wahan aake maarenge
Jab ek khandaan ki kismat mein khoon likh diya jaata hai ... toh us khandaan ke waris ko talwar uthani hi padti hai
Arjun Kapoor
Aai shapath, tujhe yahin phaad kar jaaunga
Apna toh style hi yehi hai ... bandook bhi apni, taqat bhi apni, aur nishana bhi apna
Rahul Roy
Hero ne entry maari ... public ne seeti maari ... ab toh guarantee aage hai maara-maari
Unknown
Ya toh aap shikaar karte hai ya shikaar ho jaate hai
Ashutosh Rana
Joh talwar ke sahare jeeta hai ... woh talwar se hi maara jaata hai
Talwar insaan ki raksha ke liye hoti hai ... hatya ke liye nahi
Apne aadmiyon se kaho ke bandookein phenk de ... nahi toh goli chalegi Naagraj ... aur teri khopdi mein itna bada suraag ban jayega ... jiske andar naag apna bil banayega
Jeetendra
Na reham, na maafi ... apun ka ek hich haath kaafi
Jackie Shroff
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory