Aurat, aag aur sharab mard ke bas mein hi ho toh achcha hota hai ... mard inke bas mein ho, inka ghulam ban jaye ... toh yeh usse jala dalti hai
Woh insaan kamzor hote hai joh apni zindagi ko sasti auraton ke saath guzaarte hai
Main pehle sirf kal hi ki soochta tha ... aur ab bahut door ki soochne laga hoon
Har insaan mujrim nahi hota ... lekin har mujrim insaan zaroor hota hai
Aadmi aur aadmi ki badnaami mein koi farak nahi hota ... aadmi pehda hota hai, badnaami janam leti hai ... aadmi bada ho jaata hai, badnaami bhi badi ho jaati hai
Kisi insaan ka yakeen bhagwan ke yakeen se bahut bada hota hai
Patni ka gawaar hona pati ke liye bhagwan ki dein hoti hai
Ek teer se do shikaar khelne waala khiladi ... kabhi kabhi khud apne hi teer ka shikaar ho jaata hai
Police ki maar aur talwar ki dhaar se aaj tak koi nahi bacha
Jailon ko jail ki tarah nahi, balki aspatal ki tarah treat karna chahiye ... aur mujrimon ko mujrimon ki tarah nahi, bimaaron ki tarah treat karna chahiye
Baimaani ke dhande mein imaandari se kaam nahi karne waalon ka anjaam bahut bhayanak hota hai
Roh aur roh, zor zor se roh, tab tak roti raho ... jab tak tumri awaaz dharti aur akash ke beech ki har cheez ko hilla na de
Hamare dhande mein hamare saaye ko bhi pata nahi chalna chahiye ... ki hum kya karte hai
Uska aur mera toh khoon ka rishta hai ... khoon uska, chaku mera
Zimmedari ko samajhna hi kaafi nahi hota ... zimmedari ko uthana bhi padta hai
Aadmi chahe kitni bhi oonchaiyon par pahunch jaaye na ... lekin raaste pairon ke neeche hote hai
Toote hue rishtey aur toote hue dhaage ko jaldi ma jodne ki koshish nahi karni chahiye ... gaanth padh jaye toh umar bhar chubti rehti hai
Jis din nazar aaoge na ... us din tumhari zindagi ko sametkar maut ki chaadar mein lapet doonga
Mujh mein itna zehar bhara hai ... ki mujhe kaatkar shaitan bhi zinda nahi reh sakta
Dhaal se chuka bandar aur baat se chuka aadmi ... kabhi bharose ke kabil nahi hote
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory