Bahut khoobsurat hai aankhen tumhari ... bana dijiye inko kismat hamari ... usse aur kya chahiye zindagi mein ... jisse mil gayi hai mohabbat tumhari
Milind Soman
Tumhare dil ke jail mein umar bhar ke liye qaid ho gaya hoon ... chahkar bhi yahan se riha hone ka koi chance nahi ... aur tumhari zulfon ki zanjeeron mein is tarah jakad gaya hoon ... ki agar chahon bhi toh usse todh nahi sakta
Akshay Kumar
Ajeeb hai yeh pyar ... jitna tumse milti hoon, utna hi apne aapko tumse door mehsoos karti hoon
Dia Mirza
Mere liye woh joh bhi hoga, jaisa bhi hoga ... duniya ka sabse khoobsurat insaan hoga
Gracy Singh
Hai bas ki har ek unke ishaare mein nishaan aur ... karte hai mohabbat toh guzarta hai gumaan aur ... yaa rab na woh samjhe hai na samjhenge meri baat ... de aur dil unko joh na de mujhko zubaan aur
Bharat Bhushan
Neend uski hai, dimaag uska hai, raatein uski hai ... jiske baazu par teri zulfein pareshan ho gayi ... dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din ... behte rahen tasawur-e-jana liye hue
Unknown
Pasand cheez hi aaisi hai joh waqt ke saath badal jaati hai ... lekin pyar kabhi nahi badalta
Farida Jalal
Har ek dil yahan ek dil talash karta hai ... wafaa ki, pyar ki manzil talash karta hai ... yahan parwane shama se kareeb hote hai ... haseen nazaron pe shehzaade shaheed hote hai ... yahan dil lene dene ki ada bhi kaatil hai ... yahan ke vaade bahut dil-nasheen hote hai ... joh bekaraar kare woh karaar kehte hai ... is bazar ko Meena Bazar kehte hai
Mohabbat ... aadmi itna majboor ho jaata hai, ki mohabbat mein joh usoolan galat hota hai ... woh bhi sahi lagta hai
Himesh Reshammiya
Tumhe koi chahe yeh toh bahut hi mamuli si baat hai ... magar tum kisi ko is tarah tootkar chaho bahut badi baat hai
Priyanshu Chatterjee
Pyar ek panchi hai joh aasman ki bulandiyon tak udhna chahta hai ... magar insaan ke farz aur majbooriyan usse dharti se door nahi jaane deti
Dharmendra
Kahin sher aur nagma bankar, kahin aasoonyon mein dhalkar ... woh mile mujhe toh e-dil, kahin sooratein badalkar
Manoj Kumar
Woh bhookhi pyasi nahi hai, uska pet bhar gaya hai ... mohabbat ki hawa khake, ishq ka sharbat peke
Paresh Rawal
Lagta hai tum aasman se tapki ho ... upar se neeche aakar zameen par chamki ho ... uparwaale ne kya super kaam kiya hai ... tujhe fursat mein bana diya hai
Asrani
Mohabbatein karna aur mohabbaton ko jeetna ... yeh toh hamara kaam hai
Saif Ali Khan
Dil se nikli awaaz dil tak zaroor pahunch jaati hai
Jaise pyar ko paane ke liye junoon zaroori hota hai ... pyar ko nibhane ke liye bhi ek junoon zaroori hota hai
Ajay Devgan
Smile aaisa ki hosh uda de ... style aaisa ki band bajaa de ... ek baar pyar se dekh le toh, phir kuch aur dikhai na de
Ya rab kahin se ishq ka bazaar bhej de ... dil bechta hoon, koi khareedar bhej de
Anil Kapoor
Prem sachchai hai ... is sachchai ko aaj tak na koi maar saka hai aur na koi maar sakega
Shafi Inamdar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory