Pyar ki seema sirf issi duniya tak nahi ... pyar toh bhavnaon ka ek aaisa phool hai ... joh ek janam se doosre janam aur phir janam janam tak mahekta rehta hai
Asha Parekh
Kahin sher aur nagma bankar, kahin aasoonyon mein dhalkar ... woh mile mujhe toh e-dil, kahin sooratein badalkar
Manoj Kumar
Humko toh gardish-e-haalat pe rona aaya ... rone waale tujhe kis baat pe rona aaya?
Dil ke paas rehne waala jab door chala jaata hai ... tabhi pata chalta hai hum usse kitna pyar karte hai
Manmohan Krishna
Sach joh kisi ki jaan lele ... usse kahin achcha hai woh jhoot joh kisi ko maut ke mooh se bacha le
Naukri milne ke baad kaam rahe na rahe ... lekin naukri dhoondna bahut bada kaam hai
Aadmi kitna hi bura kyun na ho ... woh kabhi na kabhi zaroor pachtata hai
Pran
Ameeri aur gareebi ke darmiyan yeh joh fasla hai na ... yeh sadiyon se badta hi ja raha hai ... isse koi kam na kar saka
Joh paa lene ko pyar kehta hai ... usse hazaron lakhon janam lene padenge pyar ka matlab samajhne ke liye
Insaan par duniya pehre laga sakti hai ... magar pyar par nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory