Jahan jahan sardar, wahan wahan gurudwara aur langar ... koi bhooka nahi marta
Salman Khan
Agar Musalman ho toh roze rakho, sawab milega ... agar Hindu ho toh navratre rakho, vardaan milega ... agar apne desh ko maante ho toh Anna ke anshan mein aao ... sundar aur sunehra Hindustan milega
Unknown
Dharam rakshak hoon, narak lok shashak hoon, yamraj hoon!
Prem Nath
Elaan karta hai parmeshwar ... aaj marega Rajeshwar
Mithun Chakraborty
Ek achche aadmi ki pehchan hoti hai uske ghun ... hamare shaastron mein bhi paanch saat ghun maane gaye hai ... daya, dharam, prem, tyaag aur shama
Prem Chopra
Khuda ke bhi ajeeb khel hai ... kahi bichadkar mil jaate hai, kahi milkar bichad jaate hai
Shashikala
Maine aapko devi jankar puja ... par aap devi nahi, devi ki murti nikli ... joh na kuch dekh sake, na mehsoos kar sake
Vinod Mehra
Khuda meherban toh gadha pehelwan ... sambhal meri jaan ... ek hi vaar mein dikhaon Hindustan
Rajesh Khanna
Jiske tann mein Isa, mann mein Allah aur atma mein Om basa hai ... uska duniya ki koi bhi taqat baal bhi bhaka kar sakti hai kya
Anita Kanwar
Vishwasghaat toh woh paap hai ... jisse bhagwan bhi maaf nahi karta
Shekhar Suman
Farhan yeh mulk hamara hai ... jitna yeh Hindu ka hai utna yeh Musalman ka bhi hai ... Sikh ka bhi hai, Isahi aur Parsi ka bhi hai
Pramod Moutho
Unko khuda mile jinko hai khuda ki talaash ... mujhko apna hissa mile, bas baat khallas
Manoj Joshi
Bhagwan ke prasad ko na karna paap hai
Karisma Kapoor
Bhakti se bhadkar koi shakti nahi
Hamare yahan toh yamdoot bhi hamari ijaazat ke bina nahi aa sakta
Amrish Puri
Ek insaan ko koi haq nahi ki doosre insaan ko sazaa de ... yeh ishwar ka kaam hai
Satyendra Kapoor
Insaan ko insaan ka hi kaam karna chahiye ... bhagwan ka nahi
Shatrughan Sinha
Hum puja bhale hi Ram ki kare, lekin tevar Parshuram ke rakhte hai
Varun Dhawan
Zehar ke asardaar hone se kya farak padta hai ... maut aane ke liye khuda ki marzi bhi shamil honi chahiye
Himesh Reshammiya
Jiske paas taqat hoti hai woh darr ko control karta hai ... aur joh darr ko control karta hai wohi khuda hota hai
Prithviraj Sukumaran
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory