Kabhi kabhi bada sach samne laane ke liye, chota jhooth bolna galat baat nahi
Sunny Deol
Insaan aksar bewafa hote hai ... lekin kudrat bewafa nahi hoti
Unknown
Jhoot nahi bolna yaara, sach kehna ... oh yaara dil na todna
Danny Denzongpa
Mehnat, lagan aur akalmandi ke saath joh baimaani ki jaye ... us baimaani ka duniya ke tamaam imaandar milkar bhi kuch nahi bighad sakte
Anupam Kher
Jiska seedha jhooth pakad mein aa jaye woh ladka toh imaandar hai ... kyun ki ladkiyon ki jhooth ki expectation toh hai hi humse ... woh, woh maaf kar deti hai ... jhooth ko saleeke se, akal ke saath chupana ... woh maaf nahi kar paati
Ranbir Kapoor
Galat ko uske anjaam tak le jana dhokha nahi hai ... galat ka saath dena dhokha hai
Akshay Kumar
Kadve sach se meetha jhoot kabhi kabhi achcha hota hai
Randhir Kapoor
Logon ki kismat mein toh lutna hi likha hai ... amir gareebon ko lootte hai, vyapari grahakon ko lootte hai aur neta janta ko lootti hai ... sabhi toh sabko lootte hai ... kalyug mein yahi hota raha hai aur yahi hota rahega
I. S. Johar
Aadmi zindagi aur maut dono se jhoot bol sakta hai ... lekin apni premika se nahi
Pran
Waqt padne par aadmi jhoot bhi sach ki tarah bolta hai
Rajesh Khanna
Pyar karne waala insaan apni zabaan se chahe dus jhoot bol le ... lekin uski aankhen kabhi jhoot nahi bolti
Mahima Chaudhry
Apni dharti se gaddari karna ... matlab apni maa ke saath gaddari karna
Amitabh Bachchan
Imaandari woh ganja sar hai jispar noton ke baal kabhi ugh hi nahi sakte ... thodi si baimaani ki tel ki malish karte rehna chahiye
Kader Khan
Kabhi kabhi aankhon dekhi aur kaano suni baat bhi jhoot ho sakti hai
Naseeruddin Shah
Yeh woh zamanaa hai ki tum aahista se sach bologe, toh koi nahi manega ... aur zor se jhoot bologe, toh sab maan lenge
Manohar Singh
(Eent ka jawab pathar se dene aaye ho?) - Nahi, dhokhe ka jawab badle se
Hrithik Roshan
Sach bolunga toh sirf ussi waqt darunga ... lekin agar jhooth bolunga toh jab tak pakda nahi jaata tab tak darta rahunga
Kartik Aaryan
Pyar ke baad sex roohani ... sex ke baad pyar baimaani
Idiots hai woh jinko sach se darr lagta hai ... darna rumours se chahiye ... kyun ki rumour ko agar roka na gaya toh woh aisa sach ban jaata hai ... jiske saamne sach bhi jhooth lagne lagta hai
Haraam ki kamai ke hazaron lakhon rupaye se ... us ek rupaye mein zyada barkat hoti hai joh halaal ki kamai ka hota hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory