Jhoot pe sach ki vijay aur burai pe achchai ki jeet ... yahi duniya ka satya hai
Rajat Kapoor
Mujhse baimaani mat karna main bahut pahuncha hua aadmi hoon ... baimaani mein shaitan ko tuition deta hoon
Kader Khan
Yahan lakhon logon ke karodon sapne hai ... kuch sache, kuch jhoote ... kuch ban gaye, kuch toote
Unknown
Sache aadmi ko gale lagane se ... jhoote aadmi ke, kaminey aadmi ke paap thode kam ho jaate hai
Anupam Kher
Kanoon ke samne jhoot bolna bhi bahut bada apradh hai
Annu Kapoor
Apun ka kaam imaandari ka hai ... aur inaam na milne par ... kabhi bhi dil baimaan ho sakta hai
Imaandari fashion mein nahi hai ... baimaani hai hit, super hit
Woh jhooth sach se hazar gunah bada hai ... joh kisi dukhi ko shanti de, sukh pahunchaye
Dev Anand
Ek sach ko jhooth banne ke liye ... ek jhooth ko sach banna padta hai
Baimaani ke chocolate se imaandari ki chane hazar gunah zyada achche hai
Mukri
Sachai se kahin zyada kabhi kabhi masoom sa jhoot dil ko bada baahta hai
Shammi Kapoor
Barson imaandari ka dhong karte rehte ho ... aur mauka milte hi aaisi baimaani karte ho ki shaitan bhi sharma jaye
Gulshan Grover
Jis jhoot se kisi ki izzat bach jaye ... aaisa jhoot toh hazaron sach se bhi mahaan hota hai
Shashikala
Jhoot ka mazaa ek din ka hota hai aur sach ka mazaa hamesha ka
Rajesh Khanna
Koi bhi jhoot itna mahaan nahi hota ki jiske samne sar jhukaya jaye
Amrish Puri
Main zindagi mein kadve se kadva sach bardaash kar sakta hoon ... lekin meethe se meetha jhoot nahi
Sach aur jhoot toh insaan ke chehre par likha hota hai
Jhoot ka bhi rajneeti mein ek khaas maqam hai
Sonu Walia
Suna hai sach aur jhooth ki jung mein jeet hamesha sach ki hoti hai ... aur apne desh ka sach toh yeh hai ... ki jeet ussi ki hoti hai jiske paksh mein kaagaz hota hai ... itni taqat hai apne system mein kaagaz ki ... aur kaagaz ki is taqat se takrana na toh koi mamooli kaam hai aur na hi kisi mamooli aadmi ka kaam hai
Satish Kaushik
When I'm high ... I don't lie
Arshad Warsi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory