Woh joh matki phodne ka khel hota hai na ... matki phodta toh ek hi hai ... lekin usse us oonchai tak pahunchane wale bahut kandhe hote hai ... mukaam saamne dikhta hai ... aise mein bedhadak chalaang lagani chahiye ... phisalkar gir padhe toh wohi kandhe sambhal lenge ... lekin agar matki tak pahunche aur phod dali ... toh itihaas rach doge
Parineeti Chopra
Raaste par chalna ek baat hai Saina ... aur raasta banana doosri baat hai ... tu na beta woh doosri baat karne ki soch
Unknown
Aadmi uske kaam se nahi ... uski soch se bada hota hai
Mahesh Manjrekar
Problem aur solution ka faasla sirf ghutne aur zameen tak ka hota hai ... aur ek baar sajda kiya toh problems khatam
Akshay Kumar
Aane wale kal ki umeed mein joh rehte hai ... unhe beeta hua kal hara nahi sakta
Tamannaah Bhatia
Hum jitna bhi logon se bhaage ya soche ki woh hi hamari problem hai ... par hum ek doosre ke solution bhi hai
Radhika Apte
Main ek aam aadmi hoon ... aur aam aadmi ke naam nahi hote ... bas kaam hote hai
Ritesh Deshmukh
Anyay ka virodh karna hi nyay karna hota hai
Har khiladi ko nirasha ke baad apne pairon pe khade hokar ladna zaroori hota hai
Kya hona chahiye aur kya nahi, yeh koi mayine nahi rakhta ... joh sachi mein hota hai na, wohi mayine rakhta hai
Supriya Pathak
Zindagi ka har pal aakhri samajhkar jeena chahiye ... tab zindagi ka asli maza aata hai
Nana Patekar
Zindagi do choice deta hai ... ya toh zindagi ko gaali dete rehne ka ... ya phir joh zindagi mile usse gale lagane ka
Sakht kanoon banane se nahi ... kanoon ka sakhti se paalan karne se hi atyachar kam honge
Sunny Deol
Duniya ke rachaita Brahma ne har insaan ka bhagya likhkar hi usse is duniya mein bheja hai ... sukh aur dukh uske zaroori ang hai ... is baat ko samajhkar joh jeeye us hi ka naam zindagi hai
Govinda
Joh insaan kamzori ka shikaar hoke gir jaye ... woh insaan, insaan nahi rehta
Dev Anand
Bhagya ki rekhayein haathon mein nahi hoti ... insaan ke karamon mein hoti hai
Dharmendra
Jab bhi hum mein lagta hai ki hamare paas koi rasta nahi hai ... toh us waqt bhi hamare paas koi na koi rasta zaroor hota hai
Kunal Khemu
Akalmand ki pehchan gusse ke waqt hoti hai ... aur bahadur ki maidan-e-jung mein
Rajesh Puri
Jhoot ka mazaa ek din ka hota hai aur sach ka mazaa hamesha ka
Rajesh Khanna
Mamuli aadmi jab bada banta hai toh bada banta hai ... lekin ek handicap aadmi jab bada banta hai toh legend ban jaata hai
Amitabh Bachchan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory