If you change nothing ... nothing will change
Rajeev Khandelwal
Zindagi ki khushi duniya ko pa lene mein nahi ... apne aap ko kho dene mein hai
Simi Garewal
Insaan joh karam karta hai ... unhi karamon ki karmi milti hai usse
Sunny Deol
Zindagi par jitna shak karoge ... zindagi tumhe utna hi tang karegi
Boman Irani
Apni nazar ussi raste pe honi chahiye ... joh aapko aapki manzil pe le jaye
Arun Bakshi
Musibaton ka saamna himmat se karna chahiye ... aasunyon se nahi
Sheeba
Sahi tarika apnaoge toh badi se badi kathenayi hal ho sakti hai
Abhishek Bachchan
Hamare liye sona hai hamare kheton mein leharti faslein ... apne bachche ke liye ek maa ki chaati mein umarti hui mamta ... bhai ke kalai ke liye ek behen ke rakhi ka pyar ... ek patni ke liye uski maang mein damakta sindoor ... pyar, mohabbat aur rishton ka yeh sona kabhi dokha nahi de sakta ... is liye Bharat sone ki chidiya tha, hai aur hamesha rahega
Sushmita Sen
Sachai woh diya hai, jisse agar pahad par jala do ... toh roshni toh bahut kam door tak karta hai ... magar dikhta bahut door se hai
Vinod Mehra
Soch se sach ko sirf dekho mat ... jahan zaroorat padhe usse bataya bhi karo
Mohnish Behl
Shareer keval aatma ka pratibimb hota hai
Jeeva
Koi insaan mahan nahi hota ... mahan hoti hai chunautiyan ... jab ek aam insaan unhe sweekar kare ... tab woh bada kehlata hai
John Abraham
Tum is desh ke un naujawan mein se ho ... joh uthe toh aasman ko muthi mein lele
Amitabh Bachchan
Zindagi mein agar aisa kuch chahiye joh pehle na mila ho ... toh aisa kuch karna padega joh pehle na kiya ho
Tiger Shroff
Bada makaan, badi dukaan, aur badi car se zyada zaroori hota hai ... badi soch ka hona
Vijay Raaz
Himmat toh josh mein aakar koi bhi dikha sakta hai ... par sabar se kaam lena yeh har kisi ke bas ki baat nahi hai ... aur yahi fark hai ek amateur aur ek professional ke beech
Manish Chaudhary
Har mumkin pehle namumkin hi hota hai ... aur har haqeeqat pehle khwaab hi hoti hai
Anupam Kher
Agar zindagi mein kuch karna hai na toh kar lena ... sahi samay ka intezar mat karna ... kyun ki kahi baar woh sahi samay aata hi nahi hai
Ashish Vidyarthi
Sanskar se sansar jeeta jaata hai ... ahankar se nahi
Unknown
Jiski chah hoti hai ... uski raah mil hi jaati hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory