Galati sab karte hai ... lekin galati sudhaarne ka mauka sabko nahi milta
Unknown
Insaaf hum mein tabhi milega ... jab hum na tootenge aur na bikenge
Jimmy Shergill
Ek masoom aadmi neta ke liye apni jaan dene ko tayaar hota hai ... lekin azaadi ke baad aaj tak kya kisi neta ne apne ek aam aadmi ke liye jaan di hai?
Anupam Kher
Duniya ka sabse bada violence, terrorism ... kisi ladki ko vaishya banana hai ... usse vaishya banke jeene par, vaishya banke marne par majboor karna hai
Priyanshu Chatterjee
Uparwaala bada dayalu hai ... jahan ek darwaza band karta hai, wahan sau darwaze khol deta hai
Dharmendra
Mauke diye nahi, liye jaate hai ... jahan bhi mil jaye
Rakesh Bedi
Achai ki koi seema nahi hoti ... aur burai ka koi anth nahi
Raj Kapoor
Agar aap mujhse poochti hai ki, which is this one person joh mere liye competition hai ... toh that's me
Arbaaz Khan
Jitni badi kranti lani hoti hai ... utni hi badi shanti ki zaroorat hoti hai
Anita Kanwar
Dukh jab zindagi ka hissa ban jaye ... toh usse haskar gale laga lena chahiye
Mithun Chakraborty
Insaan hona hi sabse oonchi zaat hai, sabse bada dharam, sabse nek mazhab
Amitabh Bachchan
Zindagi mein agar apne bal par aage badna ho toh ... sabse pehle doosron ki naukri karna seekhna chahiye ... isse insaan hunar bhi seekhta hai aur tameez bhi
Zulm ki talwar jab bhi mayaan se bahar nikalti hai ... toh pehla khoon insaaniyat ka behta hai ... fasaad ki aag jahan bhi lagti hai ... usmein saare ghar begunahon ke jalte hai ... khoon ki Holi khelte toh hai dushman ... lekin rang mazloomon ke lahu ka bahaya jaata hai
Parikshat Sahni
Aasman paane ka khwab dekho ... suraj toh mil hi jayega
Jackie Shroff
Sangeet seekhne ke liye hridhay mein prem paida kar ... doosron ka dil dukhane ke badle, apne dil mein dard pehda kar
Gussa insaan ka sabse bada dushman hai ... jisse gusse par kabu nahi, woh kisi cheez par kabu nahi rakh sakta ... gussa insaan ki akal ko kha jaata hai
Zindagi bhi kitni dilchasp hai ... woh har naye anubhav ke saath thokar lagati hai ... ek naye sabak ke liye
Har kisi ka ek sapna hota hai ... par joh apne sapne doosro ke aasoonyo se poore karte hai ... unke sapne bhi aasoon ban jaate hai
Jab vichar ka deep bhuj jaata hai ... toh aachar andha ho jaata hai
Raaj Kumar
Khuda ko manaa nahi, jaana jaata hai
Sharat Saxena
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory