Main sari duniya se tumhare liye ladh sakta hoon ... lekin main tumse nahi ladh sakta
Unknown
Kabhi dosti rahi, kabhi dushmani rahi ... apne ishq ki taqdeer thodi kam hi rahi ... har baar koshish ki, har baar manaya khud ko ... shayad in haathon ki kismat kuch kam hi rahi
Arbaaz Khan
Kya hona chahiye aur kya nahi, yeh koi mayine nahi rakhta ... joh sachi mein hota hai na, wohi mayine rakhta hai
Supriya Pathak
Arz-e-niyaz-e-ishq ke kaabil nahi raha ... jis dil pe naaz tha mujhe, woh dil dil nahi raha
Prem Chopra
Phoolon ko chhuyenge toh kaante haath ko lagte hai ... lekin uski khoobsurati kam nahi hoti
Qatra qatra saansein lee thi maine ... ek zindagi mein kayi zindagiyan jee thi maine ... khwaab khwaab dekhi zindagi ko ... aankh mein choli ki tarah khela tha maine ... agle modh par ek nayi zindagi thi ... uske intezar mein saansein thaam rakhi thi maine
Manjari Phadnis
Jab suraj aankhen band kare, sajke nikalti hai Mumbai ... kabhi uljhati, kabhi girati, kabhi sambhalti hai Mumbai ... kabhi baap ka thappad, kabhi maa ki godh hai Mumbai ... tang galiyon ki bul-bulaiyan, kabhi phaila samundar hai Mumbai ... pal pal kachole badalti jhole ka pitara hai Mumbai ... sapno bhari aankhon ka, beghar banjaron ka, mohabbat ke maaron ka aasra hai Mumbai ... kabhi sangdil toh kabhi humdil ... pairon mein chakkar dale har pal daudti hai Mumbai ... maano toh maya nagri, na maano toh patthar ka shehar hai Mumbai
Log humein nahi chhodte hai ... hum logon ko chhodte hai
Ashutosh Rana
Kayi baar off-beat cheezein logon ko beat pe laati hai
Pyar kabhi cheena nahi jaata ... na hi khareeda jaata hai ... pyar toh sirf mehsoos kiya jaata hai
Mumbai ki yahi problem hai ... aadmi koode ki jagah par behatta hai ... aur kooda aadmi ki jagah pe
Hosh nahi tha khoya abhi ... josh nahi tha soya abhi ... dil mein hausle the, aankhon mein sapne the, haath mein kalam thi ... zindagi ki dastaan abhi likhni baaki thi
Zindagi kabhi kabhi insaan ko umar se zyada umar daraz bana deti hai
Yahan aaj kal har shaksh, har pal haadsa hone se darta hai ... khilona hai joh mitti ka woh fanaa hone se darta hai ... hum sabke dilon ke kisi kone mein yeh masoom bache bachiyan ... hum badhon ki dekhkar duniya, bada hone se darte hai
Pyar mein bahut taqat hoti hai ... it can turn poison into medicine ... thorns into petals
Joh sacrifice karta hai ... God usse sabse zyada pyar karta hai
When you shake hands with somebody ... toh unke fingerprints sirf aapke haath par nahi ... aapke dil par bhi chhap jaate hai
Ya toh aap shikaar karte hai ya shikaar ho jaate hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory