Filmy Quotes

Drama
Drama

(Page 59 of 177)
# 1161

Ek nayi shuruvat ke liye ... joh hai uska khatam hona zaroori hai


For a new start ... it is necessary to end what is going on

# 1162

Insaan joh nahi hai wohi dikhane ka dhong karta hai ... joh shareef nahi hai woh sharafat ka dhong karta hai ... buzdil bahadur hone ka dhong karta hai ... dil mein lalach hota hai aur zabaan se mohabbat ka dhong karta hai ... aur kabhi dil mein mohabbat hoti hai toh zabaan se anjaanepan ka dhong karta hai


A human tries to pretend what he is not ... one who is not honest pretends to be honest ... a coward pretends to be a brave person ... a person who has greed in his heart pretends to have love in his words ... and sometimes you have love in your heart but you pretend to be strangers

# 1163

Mere nazar mein saree ki neeche dikhne waali pairon ki halki si jhalak ... skirt ki neeche dikhne waali poori nangi taango se kai zyada dilkash hai


Under my impression the small glimpse of the feet under a saree ... is much more appealing than the bare legs that can be seen below the skirt

# 1164

Jab tak baithne ke liye na kaha jaaye sharafat se khade raho ... yeh police station hai tumhare baap ka ghar nahi


Stand straight until you are asked to sit ... this is a police station, not your father's house

# 1165

Jab confidence gir jaata hai na ... toh balance bhi bighad jaata hai


When your confidence drops ... then you lose your balance also

# 1166

Sachchai ke raaste par chalne waalo ko ... duniya ki parwah nahi karni chahiye


People who walk on the path of truth ... should not worry about the world

# 1167

Woh sapna kya sapna hai, joh sirf sooke dekha jaaye ... sapna toh woh hona chahiye, joh neendein udda de


A dream that is seen when asleep is not a dream ... a dream should be something that takes away your sleep

# 1168

Jin musafiron ki manzilein alag alag ho jaye ... woh saath saath nahi chala karte


When the destination of the travelers becomes different ... then they don't travel together

# 1169

Insaan duniya ka sabse ghatiya janwar hai


The human is the worst animal of the world

# 1170

Sukh toh bewafaa tawaif ki tarah hai ... joh aaj iske pass, kal uske pass


Happiness is like the unfaithful prostitute ... who is with one today and with another tomorrow

# 1171

Aulad ke aasoon baap ke dil pe tezaab ke boond ki tarah girte hai ... aur usse challi kar dete hai


The tears of a child fall on a father like the drops of acid ... and breaks him apart

# 1172

Woh chahe hazaaro ghadiyaan khareed le ... magar unmein woh sirf waqt ko dekh sakte hai ... waqt ko ghulam nahi bana sakte


He may buy thousands of watches ... but in them he can only see the time ... he cannot make time as his slave

# 1173

Is duniya mein rehna hai ... toh judaai ki aadat dalni hi padti hai


If you want to live in this world ... then be habitual of being separated

# 1174

Agar yeh jhoot hua ... toh yeh tumhara aakhri jhoot hoga


If this turns out to be a lie ... then this will be your last lie

# 1175

Tum jaise raees pyar karte nahi ... pyar khareedtein hai


Rich people like you don't fall in love ... they buy love

# 1176

Jis rishte ki buniyaad jhoot hai, fareb hai ... usse ret par bane mahal ki tarah dasna hi hoga


A relationship that is founded on lies, deceit ... has to collapse like a castle made with sand

# 1177

Waqt ke aage kisi ki nahi chalti ... isliye waqt par hi chod dijiye


No one can be over time ... hence leave it to time itself

# 1178

Maut se badkar koi dost nahi hai ... hamesha mere saath chalti hai


There is none better friend than death ... it always walks with me

# 1179

Hum unlogo mein se nahin hai, joh saanp ka sar kuchalkar usse maar dalte hai ... hum unlogo mein se hai, joh saanp ka sar pakad lete hai aur uske baad uske zehrile daanton ko nikaalkar ... usse nachate hai aur paisa kamate hai


I am not someone who crushes a snakes head and kills it ... I am someone who catches the snakes head and removes the poisonous teeth ... and then I'll make it dance and make money

# 1180

Woh aadmi jis raaste se chalta hai ... usse saanp bhi chhodkar hat jaata hai


Whatever path that man walks on ... seeing him even the snake changes it route

Recently Added

Box Office Winners


Movies Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ#

Stars Directory

ABCDEFG
HIJKLMN
OPQRSTU
VWXYZ

Copyright © FilmyQuotes.com