Jis tarah mazab-e-islam mein haraam hai suvar khana ... jis tarah hindu dharam mein paap hai gaye khana ... in sabse bada gunaah hai ... mard hokar kisi aurat ke jism ki kamai khana
Govinda
Cancer ke keedon ke samne ... na meri zindagi ki koi keemat hai ... na tumhare aasuon ki
Rajesh Khanna
Mauka sabhi ko milta hai
Chakravarthi
Poochne ke liye zinda rehna zaroori hota hai
Mere aasuyon ka swad ... mere mann ka namak hi samajhta hai
Unknown
Aap se zyada izzat hai hamare paas ... poocho kaise ... aap ki izzat ek baar gayi toh gayi ... hum toh roz raat ko izzat bechti hai ... saali khatam'ich nahi hoti
Alia Bhatt
Amar prem wohi hai jispe khoon ke halke halke se cheente ho ... taaki usse buri nazar na lage
Taapsee Pannu
Zaroorat toh kabhi khatam nahi hoti ... mauke khatam ho jaate hai, sapne khatam ho jaate hai, yeh saali zindagi khatam ho jaati hai ... lekin zaroorat hi hai joh kabhi khatam nahi hoti
Emraan Hashmi
Joh baat hum mein samajh mein nahi aati ... woh hum mein sunai bhi nahi deti
Arjun Rampal
Pathan ka lafz aur mayaan se nikla talwar ... kabhi vapas nahi jaati
Shammi Kapoor
Chitta mein shareer jalta hai ... karz nahi
Joh sar par kafan bandkar nikalte hai ... woh anjaam nahi sochte
Joh aurat kisi ke pyar ki kasam kha chuki ho ... woh paraye mard ke haath lagne se hi mar jaati hai
Hema Malini
Budhapa aake jaata nahi aur jawaani jaake aati nahi
Jackie Shroff
Is baar maine tumhare khilaaf itne gawah ikhatte kar liye hai ... ki agar yamdoot bhi chahe toh bhi tumhara arrest warrant cancel nahi karva sakta
Mukesh Rishi
Pyar ki kahani ek aisa pinjra hai jis mein mann ka panchi pharphara toh sakta hai ... magar nikal nahi sakta
Manoj Kumar
Apne kiye ki sazaa toh har insaan ko bhugatni padti hai ... lekin apna jurm kubool karne se, uski sazaa jhelna aasaan ho jaati hai
Amitabh Bachchan
Ghaav toh woh bharte hai joh shareer par lage ho ... is ghaav ne toh meri aatma par chot pahunchayi hai
Mithun Chakraborty
Pareshani aur takleefon se joh door ho, woh hum hai ... jiske sar par aapka haath ho, usse kya gham hai
Shahrukh Khan
Dosti ya dushmani, jab tak jam ke na ho ... mazaa nahi aata
Naseeruddin Shah
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory