Ek baar jab main faisla kar leta hoon toh, joh sochta hoon woh karta hoon ... joh chahta hoon woh paata hoon
Naseeruddin Shah
Zameen hamesha uski hoti hai ... joh uska seena cheerkar us mein apne paseene ke beej bohta hai
Vinod Mehra
Main woh badnaseeb beta hoon ... ki jis dawa ko cho loonga, woh meri maa ke liye zehar ban jayegi
Amitabh Bachchan
Meri taqat bano ... kamzoori nahi
Suriya
Sachchai ke liye kisi bhi cheez ko kurbaan kiya ja sakta hai ... magar kisi bhi cheez ke liye sachchai ko kurbaan nahin kiya ja sakta
Govinda
Jab jab jo jo hona hai, tab tab so so hota hai
Unknown
Woh aadmi pehda nahin hua ... kabhi na kabhi jiski neeyat na doli ho
Door ho ja meri nazron se
Kal subah tak tumhare sab juakhane aur kaale dhandhe band ho jaane chahiye
Main umeed par nahi ... zid par jeeta hoon
Duniya ki tarah kahani bhi chalti hi rehti hai ... uska kabhi koi perfect the end nahi hota
Richa Chadda
Comics ki duniya ke bahar superheroes bahut kam milte hai
Hum apne liye jee nahi pa rahe hai ... aur yeh doosron ke liye marne ko taiyaar hai
Tanishaa Mukerji
Tere paas khone ke liye kuch nahi tha ... mere paas tha hamara naam
Karan Johar
Nau mahine pet mein rakhne se koi aurat maa nahi ban jaati ... kya tumne ek maa ki tarah kabhi isse apna doodh pilaya, kabhi apni baahon mein jhulaya, kabhi seene se lagakar pyar kiya ... nahi ... jab tumne maa ka kartavya nahi nibhaya toh tum mein maa kehlane ka koi adhikar nahi
Jeetendra
Jab mohabbat ki aag dahek uthti hai na toh woh mandir aur masjid ki taraf nahi dekhta hai ... un aankhon mein sirf dekhta hai jinhe woh pyar karta hai
Akshaye Khanna
Koi bhi baat agar zor zabardasti se manvayi jaye ... chahe woh mazhab ke baare mein ho, apne aqeeday, apne imaan ke baare mein ho ... ya phir apne usoolon ke baare mein ho ... uska asar zyada der nahi rehta aur nateeja tabahi hi hota hai
Bandook se kisi ki jaan li ja sakti hai ... kisi ka dil nahi jeet sakte
Sanjay Dutt
Maa bhi bhagwan ne duniya mein ek nirali hi cheez banayi hai ... janam dene se lekar bete ki aakhri saans tak, har gadhi yeh hi kehti hai ... "jug jug jiyo beta, jug jug jiyo"
Kuch kahaniyon ka adhoorapan hi unka anth hota hai ... sab kuch toh kabhi poora nahi hota ... poora bhi kahin adhoora hi reh jaata hai
Sara Loren
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory