Kahani mein twist ho na ... toh mazaa aata hai
Sanjay Dutt
Nasha jitna badhe ... hosh utni hi derr se aata hai
Koena Mitra
Yahan ya toh bahut sanata hai, ya phir bahut shor ... aadmi akela hai, ya phir mela hai
Unknown
Apni kisi pyari cheez par jab chot ka nishaan lagta hai ... toh dil mein dard jaag uthta hai
Amrish Puri
Maine tum par vishvas kiya ... aur tumne ussi vishvas ki neev mein zehar dal diya
Amitabh Bachchan
Sansar ki har gandagi ko apne haathon se chukar ... tum usse pavitra bana deti ho
Rajesh Khanna
Tumhara hriday kitna achcha hai, woh toh main jaanta tha ... lekin kitna vishal hai yeh aaj malum hua ... jitna tumhe milta hoon, mukt ho jaata hoon
Yeh ghar mera hai ... is ghar mein bole hue mere har alfaaz kanoon ke barabar hai
Suna tha rishtey insaano ko ek doosre se jodhte hai ... lekin mere rishton ne toh mujhe bilkul hi todh kar rakh diya
Koi insaan mahan nahi hota ... mahan hoti hai chunautiyan ... jab ek aam insaan unhe sweekar kare ... tab woh bada kehlata hai
John Abraham
Hamare ghar ki bahu betiyan jab kabhi beizzati ke daldal mein kadam rakhti hai ... toh hum unhe haveli ki char deewari mein zinda chunwa dete hai
Duniya mein koi bhi gunaah itna bada nahi hota ki shama ke layak na ho ... aur na hi koi gunaah itna chota hai, ki usse nazarandaz kiya jaye
Bipasha Basu
Yeh dharti ek aaisi hatheli hai ... jis par kisaan hal chalakar, insaan ke taqdeer ki lakeerein kheenchta hai
Asha Parekh
Bhale zindagi mein mujhe koi medal na mile ... magar main is medal lagne waale vardi par, ek medal jitna chota daag bhi lagne nahi doonga
Sunil Shetty
Hum kala bechte hai, ladkiyon ki izzat nahi
Anil Kapoor
Kabhi kisi se aaisa mazaak mat karna ... jisse uski duniya ujhad jaye ya uski jaan chali jaye
Prem Chopra
Jab ghar ki jawaan bahu bahar rang raliyan manati phire ... toh budhe sasur ko neend kaise aa sakti hai
Nazir Hussain
Malik banna hai toh kheto mein kaam kar ... kyun ki asli khazana kitaabon mein nahi, zameen mein chupa hai beta
Aruna Irani
Ek izzatdaar duniya ki har musibat jhel sakta hai ... lekin zaleel hokar jee nahi sakta
Alok Nath
Bachche tumne sirf shehar ke college mein padai ki degree li hai ... maine yeh duniya ke college mein tajurbe ki padai haasil ki hai
Amjad Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory