Duniya mein jis insaan ka zameer zinda hai ... woh maut bardasht kar lega lekin apni beizzati aur apmaan nahi
Jeetendra
Jab kashti jawani ke kinare par aa jaye ... toh wahan aadmi nayi awaazon se pyar karne lag jaata hai ... wahan usse shaadi ke baaje sunai dete hai ... phir usse pichle kinare ki awaazon ka khayal nahi karna chahiye
Madhubala
Is duniya mein pyar karne waale log bahut kam hai ... lekin joh nafrat nahi karte na woh sirf ek ... aap
Vijay Raaz
Joh shaap dene waala hai aur shaap paane waala hai woh toh duniya se chale jaate hai ... lekin shaap zinda rehta hai sadiyon tak ... generation after generation
Rahul Dev
Pati woh hota hai jise patni parmeshwar samajhkar poojti hai ... ek kamzor aur besahara aurat par zulm karne waala pati nahi ... rakshas kehlata hai
Sunil Shetty
Pahad ki choti se girke bach sakte hai aap ... lekin ghagre ki chapet mein aake bachna mushkil hai
Ashutosh Rana
Zabaan aaisi tawaif hoti hai joh mujra karna band nahi karti ... kabhi hamare samne, kabhi doosron ke samne
Mukesh Khanna
Yeh kyun, kya, kahan ke uljhan mein kyun pade ... bas yeh kya kam hai ki hum sab hai aur saath hai
Madhuri Dixit
Bhagwan na swarg se jode banakar dharti pe bhejta hai ... aur insaan usse todhkar joh paap karta hai na ... usse talaq kehte hai
Satish Kaushik
Zindagi mein sirf ek hi aadmi se daro ... jise maut ka darr nahi
Mukesh Rishi
Kai cheezein itni achchi lagne lagti hai ... ki baki sab buri lagne lagti hai
Mahie Gill
Tere baap ke telephone par khulne waale darwaaze jail ke nahi ... kothon ke honge ... tere baap ke ishaaron par adalaton ke faisle nahi ... tawaifon ki adaein badalti hogi
Rekha
Tumhari chitron ki duniya mein jeene ke baad asli duniya bemaani lagti hai
Unknown
Kroadh woh zehareela saanp hai joh dasta zaroor kisi doosre ko hai ... lekin zehar khud ki zindagi mein ghol deta hai
Anupam Kher
Agar woh bechara ek din kaam par nahi jaata ... toh us bechare ke ghar mein chula nahi jalta ... aur jis din chula nahi jalta ... uska pet jalta hai, uski aatma jalti hai
Dilip Kumar
Insaan patthar ki chot seh sakta hai ... lekin yeh buri nazar ke vaar se bachna bahut mushkil hai
Raaj Kumar
Rishtey bhi kitne ajeeb hote hai ... ulajhte khud hai, suljhana hum mein padta hai
Zindagi ke safar mein bahut saare musafir milte hai ... lekin har ek ki manzil ek hi toh nahi hoti
Amrita Arora
Is shareer par vaasna ke itne daag hai ... ki yeh behta khoon bhi inhe dhoh nahi sakta
Meenakshi Sheshadri
Agar hum apne buzurgon ki nakhushi ki buniyaad par apni khushiyon ki imaarat khadi karenge ... toh woh zyada din nahi tik payegi
Randhir Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory