Har ek dil yahan ek dil talash karta hai ... wafaa ki, pyar ki manzil talash karta hai ... yahan parwane shama se kareeb hote hai ... haseen nazaron pe shehzaade shaheed hote hai ... yahan dil lene dene ki ada bhi kaatil hai ... yahan ke vaade bahut dil-nasheen hote hai ... joh bekaraar kare woh karaar kehte hai ... is bazar ko Meena Bazar kehte hai
Unknown
Hum koi fairy tale mein nahi Delhi mein rehte hai ... yahan rainbows nahi traffic ka dhuan hai ... raat ko aasman mein ek bhi tara saaf-saaf dikhe na ... utna hi bahut hai
Aaj kal aaise bade sheharo mein jeene ke liye kisi ko jaan se maarne se zyada ... jaan se maarna aana bahut zaroori hai
Anil Kapoor
Doodh pani ka yeh milan, Ganga Jamuna sangam ... agar Allahabad ke baad milega toh yahin milega
Jagdeep
Mumbai kisi ke baap ka nahi hai ... Mumbai police ka hai
Shahid Kapoor
Dilli wale na sab kuch over karte hai, dimaag ki short karke ... do numbri hote hai ... par dosti mein ek numbri hote hai
Ritesh Deshmukh
Delhi jeetne se zyada mushkil hota hai kisi ka dil jeetna
Kaisa re baandha prem ka bandhan ... loot liya mera komal tann mann ... jaa ghar jaa tu dekh le darpan ... lagti hai burman ki lotan ... tu mera jogi main teri jogan ... main teri Rati tu mera Madan ... na main jogi na main Madan ... main toh hoon Raampur ka Lakshman
Randhir Kapoor
India mein woh bahut kuch hai joh America mein nahi ... sirf hum jaison ko dikhta nahi hai
Aashish Chaudhary
Bijli giri Musharabad mein aur ghar jala Moradabad mein
Bambai ki ladki aur Bambai ki barish ... kabhi bhi aayegi, kabhi bhi jayegi
Padmini Kolhapure
Jab shehar ki taqdeer harami ho jaati hai ... tab Kapali jaisa ek haramzada pehda hota hai
Govinda
France ka fashion aur ladki ka selection ... dono mushkil mein daal deta hai
Aap hamare dil ke Taj Mahal mein aa sakte hai ... aur uske kisi bhi kone mein khade rehke tasveer khicha sakte hai
Arshad Warsi
America bheja padhne ko ... alien bankar aa gaya
Log Mumbai ko sapno ka shehar kehte hai ... yahan par har ek ke sapne poore hote hai
Kulbhushan Kharbanda
Joh maza Banaras mein ... woh Paris mein na Far East mein
Ravi Kishan
Zindabad, murdabad ... Hyderabad, Ahmedabad ... aaise mein yeh gareeb toh ho jaaye na barbaad
Johnny Lever
Bambai mein kaam kam hota hai hartaalein zyada hoti hai ... kabhi taxi waalon ki hartaal, kabhi bus waalon ki hartaal, kabhi mill waalon ki hartaal ... aur kabhi hartaal ka kaaran na milne par hartaal ko practice karne ki hartaal
Asrani
Log London se degree ke alava aur kabhi kabhi degree ke bajai ... mem lekar aa jaate hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory