Chaaron aur kudrat ka phaila kaisa yeh andhera hai ... maut ka taandav hai, gidhon ka dhera hai ... na pedhon ki chaanv hai, na kahin basera hai ... is bhayanak baat ka nahi koi savera hai ... maut ke khel se bachne bhaag rahe hai yeh log ... is hi dharti se judhe the, kyun bhool rahe hai yeh log ... dukh, peedha aur chaaron aur nirasha hai ... na jeene ki aur na jeevan ki asha hai ... kahin bhi duniya mein na padhe dharti par sookha ... insaan sab kuch seh sakta hai, par nahi reh sakta bhookha