Aaj kal toh maa baap sirf shaadi ki date aur hall ki booking karne ke liye reh gaye hai
Agar aaj shaam tak woh ghar wapas nahi lauta ... toh main dimaag ki jagah apne haathon ka istamal karoonga ... joh ki main yakeen se keh sakta hoon, utne hi tezz aur mazboot hai jitna ki mera dimaag
Maine tum par vishvas kiya ... aur tumne ussi vishvas ki neev mein zehar dal diya
Apna patta khulega toh apun ko salaam karte hue khulega
Joh hai woh nahin hai ... aur joh nahin hai woh, woh kaise ho sakta hai?
Jahan lakshya hona chahiye tha khabarein ... aur maadhayam hona chahiye tha paisa ... wahan aaj paisa ban gaya hai lakshya ... aur khabarein keval maadhayam
Kal subah tak tumhare sab juakhane aur kaale dhandhe band ho jaane chahiye
Hona ek din sabka hisaab hai ... zindagi karamo si likhi ek kitaab hai
Kitne bhi chuhe ek saath mil jaaye ... sher ko toh chhodo, ek billi ko bhi kuch nahi kar sakte
Jab tak bandook mein aakhri goli hoti hai ... jung jeeti ja sakti hai
Mamuli aadmi jab bada banta hai toh bada banta hai ... lekin ek handicap aadmi jab bada banta hai toh legend ban jaata hai
Ek ladki jab saari bandkar, gale mein phoolon ka haar dalkar, ladke ke saath apna pallu bandkar agni ke saat phere leti hai ... toh woh phere uski zindagi ko phira dalte hai
Is shehar mein har police waale ka aurat apna mard ka lambi umar ke liye Karva Chauth ka nahi ... Babban ka vrat rakhta hai
Hum toh yeh samajhkar aapke paas aaye the, ki hum apni samajh ko aapki samajh ke charano mein rakh denge ... aur aap is nasamajh ki bina samajhayi hui samajh ko, apni samajhdari se samajhake sabko yeh samajha denge ki hum samajh gaye ... lekin aap samajhenge nahi ... samajh gaye na?
Insaan hona hi sabse oonchi zaat hai, sabse bada dharam, sabse nek mazhab
Uparwaala kisi ko sazaa dene ke liye khud chalkar neeche nahi aata ... ussike kehane se koi insaan zulm aur sitam ka muqabla karne ke liye uthta hai ... aur aaj main zulm ko khatam karke hi rahoonga
Phir kabhi udhar nazar aaya ... toh kisi ko nazar nahi aayega
Kanoon saale ka kaam jurm ko mitana hota hai ... logon ko nahi
Ek taraf maut hai ... doosri taraf maut se battar zindagi
Main toh us andhere ghar ka chirag hoon ... jahan dil bhi jalao toh roshni nahi ho sakti
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory