Main fauladi shaitan ki madad se sultan toh kya ... sari duniya par fateh hasil kar sakta hoon ... shaitan zindabad, shaitan zindabad
Amrish Puri
Sukh aur dukh dono uparwaale ki den hai ... is liye sukh ki tarah dukh ko bhi apnana seekho
Shammi Kapoor
Jako rakhe saiyan, maar sake na koi ... baal na baka kar sake, joh jag bairi hoye
Dara Singh
Husn ka deewana hoon ... kabhi bhawara, kabhi bulbul, kabhi parwana hoon
Rishi Kapoor
Tum angoor ke woh guchhe ho jinse sharab nichodi ja chuki hai ... aur Ruksana ek paka hua anaar hai jiska ek ek dana hum choos choos kar khayenge
Unknown
Uparwaala kisi ko sazaa dene ke liye khud chalkar neeche nahi aata ... ussike kehane se koi insaan zulm aur sitam ka muqabla karne ke liye uthta hai ... aur aaj main zulm ko khatam karke hi rahoonga
Amitabh Bachchan
Hamare Hind mein auraton ko izzat ki nazaron se dekha jaata hai ... hawas aur besharmi se nahi
Dimple Kapadia
Aainda kisi gareeb par haath uthane ki koshish ki ... toh tumhare haathon ko bhik mangne ke kabil bhi nahi chhodunga
Apne zulm ki takat par itna naaj na karna ... kyun ki tumhari napak hasti ko nestonabud karne waala paida ho chuka hai
Saeed Jaffrey
Mamta ki koi zaban nahi hoti ... naa hi pyar ki koi tasveer hoti hai
Husn ibaadat hai meri, ishq mazhab hai mera ... hoon toh insaan magar, bhes hai parwane ka
Isse toh aaise zakhm do joh kabhi na bhare ... aur yeh zindagi bhar apni hi laash ko apne kandhon par uthaye tadpata rahe
Main Hind ki sherni hoon ... mera ek panja uth gaya toh tera ye haath tere dhad se alag ho jayega
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory