Sab bikta hai ... daam barabar hona chahiye
Jab pita ke budhe haath kaapne lage ... toh jawaan bete ka farz hota hai ki woh aakar unke haath batayein
Suna tha rishtey insaano ko ek doosre se jodhte hai ... lekin mere rishton ne toh mujhe bilkul hi todh kar rakh diya
Firangi sarkar ke pass koi aisi goli nahin joh ek desh premee ke seene ko paar kar sake
Tumhari maa toh kohd se mar gayi bete ... magar is Bharat maa ko kohd mat hone dena
Baap ka joota agar bachche ke paon mein aa jaye ... toh phir woh bachcha nahi reh jata
Main woh badnaseeb beta hoon ... ki jis dawa ko cho loonga, woh meri maa ke liye zehar ban jayegi
Aadmi bura kaam is liye karta hai kyun ki uske dil ke andar achhai ka darr nahi hota ... jis din iske andar ki burai achhai se darne lagegi ... us din se har bura kaam karne se pehle yeh dus baar sochega
Jab tab Bhavani Maa ka saaya mere saath hai ... dushman toh kya janam dene waala bhi nahi maar sakta
Maante hai hum, hum gunehgaar hai ... sar jhukaye hai hum, aap sarkar hai ... apni baahon mein chupa lijiye humko ... sirf itni sazaa ke talabgar hai
Boond boond se sagar banta hai ... aur kiran kiran se suraj
Main tumhe itni maar maroonga ... shareer mein itne zakhm doonga ... ki dard bhi pareshaan ho jayega ki uthe toh kahan se uthe
Tum government se ho ... government tumse nahi hai
Jab jab joh joh hota hai ... tab tab woh woh hota hai
Ek din mein main ek hi daav lagata hoon
Tum mera jism todh sakte ho ... meri himmat nahin todh sakte ... mera yakeen nahin todh sakte
Nyay agar jeevan ka adarsh hai ... insaaf agar hamare samvidhan ka maulik adhikar hai ... toh phir usse vyavastha, parampara aur paristithiyon ka ghulam mat banaiye
Ek achhe neta ki apni bhasha hoti hai ... doosron ki zubaan nahi
Har achchai ki koi nirdharit keemat hoti hai ... woh chahe paisa ho, gyan ho, ya phir dard ... aur dard ki keemat chukani padti hai
Police ki naukri karne ke liye jigar ispat ka aur badan faulad ka banana padta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory