Tum nahi ho toh khum aur sagar-o-meena kya hai ... rasam-e-maikhana nibha lete hai peena kya hai ... hum barasti hui boondon mein jale hai barso ... humse pooche koi savan ka mahina kya hai
Kader Khan
Hawa hi aaisi chali hai ki jee bahal nahi ... varna hum toh bahut kam udaas rehte hai
Om Prakash
Tumhare hi liye paida hue duniya ke nazare ... chamakte hai tumhari roshni se chand aur taare ... tumhara gham hai gham, auron ka gham khawab-o-kahani hai ... tumhara khoon hai khoon, hamara khoon pani hai
Sohrab Modi
Yahan libaaz ki keemat hai aadmi ki nahi ... mujhe glass bada de sharab kam karde
Vijay Raaz
Sheesha ho ya dil ho aakhir toot jaata hai ... lab tak aate aate haathon se sagar choot jaata hai
Aamir Khan
Purani jeans ke saath dostana hamara ... par teri yaari mein yaara ... dheela padh gaya friendship da naada
Unknown
Jhoot ki boo tumhari baat mein hai ... lao koi gawah saath mein hai?
Prithviraj Kapoor
Ishq se joh bacha nahi rehta ... woh kisi kaam ka nahi rehta
Jeevan
Ek patthar chot khake kankar kankar ho gaya ... aur ek patthar chot sehke Shankar Shankar ho gaya
Navjot Singh Sidhu
Zulm ko fanna karne ke liye maut se takra gaya hai ... tujhse loha lene ke liye, dekh yeh loha aa gaya hai
Dharmendra
Zakhm rishtey rahe umar bhar aur waqt se berukhi ho gayi ... naam likh ke tera aaj kyun ungliyan barf si ho gayi
Irrfan Khan
Maana door se dekha toh moongphali hai ... paas aakar dekh tera Baahubali hai
Anupam Kher
Koi shayar, koi pagal, koi bepeer ban jaye ... teri tasveer joh dekhe woh khud tasveer ban jaye
Madhuri Dixit
Tu is zameen ki cheez nahi, tu jaane kahan se aayi hai ... tu is chaman ka phool nahi, tu kis gulistan se aayi hai
Badalne waali hum cheez nahi ... arre hum mard hai, koi kameez nahi
Mukesh Khanna
Jab bhi main tumhe taqleef mein paonga ... sabse pehle main apna haath badaonga
Salman Khan
Hai bahut andhyar, suraj nikalna chahiye ... ho kisi tarah se bhi, mausam badalna chahiye
Sunny Deol
Chandni aanchal mein bhar layi hai tu ... raat yeh chamki hai jab aayi hai tu
Raaj Kumar
Ajab hai yeh taqdeer ka lekha ... maa aaisi hoti hai ... aaj pehli baar hai dekha
Ajay Devgan
Tere liye mera pyar, tera bhi mohtaaj nahi ... yeh marte dum tak rahega, sirf aaj nahi
Harshvardhan Rane
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory