Agar bhagwan bhi insaan se uski zindagi maange, toh insaan kabhi nahi dega ... is liye bhagwan bhi cheen kar hi leta hai
Govinda
Mohabbat karne waalon ka dukh sirf mohabbat karne waale hi samajh sakte hai
Unknown
Bachche jab chote hote hai, toh unse pyar kiya jaata hai ... jab woh bade ho jaate hai, toh unhe samjha jaata ha
Shafi Inamdar
Mohabbat aur chahat heere aur sone ki mohtaj nahi hote ... do dilon ka milan hi sabse badi daulat hoti hai
Farha Naaz
Imaarat pehle bahar se nahi, andar se hi tootti hai ... insaan aksar doosron se nahi, apne aap se, apne vicharon se aur apne rawaiye se hi dokha kha jata hai
Mausam bhoole nahi jaate ... yaad taaza karne baar baar aate rehte hai ... kabhi zakhmo ko bharne toh kabhi zakhmo ko gehra karne
Aadat badli ja sakti hai ... fitrat nahi
Duniya adhoori nahi hoti ... muqammil hoti hai ... adhoora aadmi hota hai
Chor ki kasam aur jhoote ke waade ka koi aitbaar nahi hota
Nadaani ka doosra naam nakaami hai
Kaam awaara aur uchakkon ko nahi milta ... magar jinhe kaam ki shradha hoti hai ... unhe kaam mil jaata hai
Achchai aur burai matlabi hoti hai ... matlab nikal gaya, toh aadmi achcha lagta hai ... aur agar matlab na nikla, toh wohi aadmi bura
Koi itna door bhi nahi jaana chahiye ... ki wapasi ka raasta bhool jao
Kachche faisle karne waale darr ke gharondo mein chup jaate hai
Rishta koi paisa nahi hota ... joh haath se nikal jaye toh sambandh toot jaye
Insaan paap ka prayashchit kar sakta hai ... magar ilzaam ka daag mitta nahi sakta
Neelam
Rishtey sharton se bante ya bighadte nahi hai ... rishta ek ehsaas hota hai jisse khuraj kar phenka nahi ja sakta
Apno mein apni pehchaan zaroori hoti hai ... apni talaash ke liye
Dil khaali reh jaye toh saari roshniyan bujh jaati hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory