Pyar ho gaya hai tujhse ... har jagah sirf tera hi chehra dikhne wala pyar ... real life mein background music bajne wala pyar ... haath pakad ke zindagi bhar khamosh rehne wala pyar ... hamesha hamesha wala pyar ho gaya hai tujhse
Alia Bhatt
Shaadiyan mahurat se hoti hai ... par pyar ka koi mahurat nahi hota hai ... na rang hota hai ... aur na koi ling hota hai
Ayushmann Khurrana
Hum lakh chupaye pyar magar duniya ko pata chal jayega ... lekin chup chupke milne se milne ka maza toh aayega
Unknown
Dil ki har baat sher nahi hoti hai ... kuch lafzon ke zariye apne haal-e-dil bayaan karne ki koshish hoti hai
Irrfan Khan
Mulaqaton ko din aur hafton se kyun gina jaata hai ... saanson se kyun nahi ... agar saanson se gina jaaye toh lagega ... bahut lambi umar hai is kam umar rishtey ki
Ajay Devgan
Pyar kabhi kam na karna sanam ... har kami hum gawara kar lenge
Rishi Kapoor
Pyar kisi ke dil mein pehda nahi kiya ja sakta ... pyar ho jaata hai
Ameesha Patel
Mujhe teri aankh, kaan, naak bilkul pasand nahi ... mujhe toh teri muskurahat se pyar hai
Shahrukh Khan
Hum tum dono jab mil jayenge ... ek naya itihaas banayenge ... aur agar hum na mil paye toh ... toh bhi ek naya itihaas banayenge
Kamal Hassan
Pyar apni jagah hai, daulat apni jagah hai ... zindagi ke liye dono zaroori hai
Prem Chopra
Chor aur aashiq mein ek farak hota hai ... chor churai huyi cheez vapas nahi lautata ... aur aashiq churaye huye dil ke badle apna dil chhod jaata hai
Sacha pyar kabhi marta nahi ... marne ke baad bhi
Supriya Karnik
Main apna har aaj sirf tumhare saath bitana chahta hoon
Sidharth Malhotra
Aapki aankhon mein dekha toh irradon mein badmashiyan aa gayi
Ek aurat ke liye pyar karne mein aur uska izhaar karne mein koi farak nahi hai ... lekin mardon ke liye pyar karna bahut aasaan hai, pyar ka izhaar karna bahut mushkil
Tanuja
Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai ... hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai ... yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal ... hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo ... yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai ... yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho ... magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho
Amitabh Bachchan
Shola ya shabnam, naa toh hai hi ... koshish karke dekh le ... shayad haan ho jaye
Ritesh Deshmukh
Mohabbat ke sailaab ke samne har deewar toot jaati hai
Parikshat Sahni
Tumse milne ke baad maine bhi ek sapna dekha tha ... tumhare har sapne ko sach karne ka sapna
Sacha pyar sabse bada hota hai ... waqt se bhi aur kismat se bhi
Harman Baweja
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory