Jab tum film dekh rahi thi ... toh main sirf tumhe dekh raha tha
Prateik Babbar
Qurbani se pyar amar ho jata hai
Meenakshi Sheshadri
Love na ek bungee jump hai ... dum hai toh kood pado ... safe landing ki koi guarantee nahi hai, toh safety ka socho hi mat ... jisne socha woh sochta hi reh gaya ... aur joh kooda woh udta hi raha
Ranveer Singh
Pyar mein joh galat hai ... woh bhi sahi hai
Irrfan Khan
Meri zindagi mein koi aur aa gaya hai ... ek sailaab, ek toofan ki tarah aur baha le gaya mujhe
Bipasha Basu
Doori kabhi palbhar ko gawara na karenge ... agar jee na sake saath toh hum saath marenge
Raaj Kumar
Tumse aadhe second ki bhi doori mujhe aadha kar deti hai
Vivek Oberoi
Haathon mein tera haath ho aur safar pe tera saath ho ... aankhon mein dalkar aankhen bin kahe hi saari baat ho
Akshay Kumar
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ... ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein guzarne pati ... toh shadaab ho bhi sakti thi ... yeh ranj-o-gham ki shayahi joh dil pe chayi hai ... teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi ... magar yeh ho na saka ... magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai ... ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi ... guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise ... isse kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi ... na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag ... bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri ... inhi andhero mein reh jauga kabhi khokar ... main janta hoon meri humnafas ... magar yoon hi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Amitabh Bachchan
Pyar woh nasha hai jis mein chain kho jaata hai, hosh udh jaata hai, neend gayab ho jaati hai ... kisi ko milne ki, chune ki, kehne ki, sunne ki, kisi ko apna banane ki, kisi ka ho jaane ki khawaish hoti hai, jeene ko mann karta hai ... pyar woh andhrooni bahaar hai jis mein kalpana ke phool khilte hai, kavita ko sur milte hai, chahaton ke mele lagte hai, kisse mehakte hai, kah-kahe lagte hai, karaar milta hai ... pyar woh insaani karishma hai jis mein aane waale kal ko wajah milti hai, guzre hue kal ko wajood milta hai, anjaan logon ka dil milta hai, soone safar ko sahil milta hai
Shahrukh Khan
Ladke ladkiyon ke bahut saare dost hote hai ... lekin unke heart mein sirf ek hi special hota hai
Unknown
Mudh ke dekho, paas bulao ... paas aaye toh haath pakad lo ... jatpataye toh baal jakad lo ... nazdeek chehra laake uska, kaan mein dil ki baat suna do
Zohra Sehgal
Love and music have no language
Hrithik Roshan
Jab aurat ka dil tootta hai, toh woh apni sari zindagi un tukdon ko baantene mein kharch kar deti hai ... aur jab mard ka dil tootta hai, toh woh apni sari zindagi un tukdon ko sametne mein
Dev Anand
Is duniya mein chahe woh insaan ho yah makaan ho ... ek din mitt hi jaata hai ... nahi mitta hai toh woh hai pyar
Waheeda Rehman
Mohabbat ki amanat bahut bhaari hoti hai
Saif Ali Khan
Ab aap samne hai toh kuch bhi nahi hai yaad ... varna kuch aapse hum mein kehna zaroor tha
Rekha
Teri deewaniyat mein jab main mar jaunga na, toh aise hi rehna ... apni aankhon mein ek bhi aansun mat aane dena ... kyun ki teri aankhon mein ek bhi aansun meri rooh bardaash nahi kar payegi
Harshvardhan Rane
Khali-bali ho gaya hai dil duniya se mera ... jab se pehna hai maine yeh ishq-e-sehra ... taar-vaar dil ke sab toot se gaye ... neendon wale jugnu rooth raaton se gaye ... lag sa gaya hai khwaabon ka aankhon mein dera
Yeh letter main apne khoon se is liye likh raha hoon ... because it's only blood that remains forever
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory