Pyar ki buniyaad kisi ki madad ya sifaarish ki mohtaj nahi hoti ... yeh toh dilon se dilon ki dhadkan hai joh rishton mein badal jaati hai
Raveena Tandon
Chaudwee ka chaand ho ya aaftab ho ... joh bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho
Nagarjuna Akkineni
Shaadi sirf jism ka rishta nahi hai ... mann ka milan hai, aatma ka rishta hai
Ajay Devgan
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye ... bus ek baar mera kaha maan lijiye ... is anjuman mein aapko aana hai baar baar ... deewar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye
Naseeruddin Shah
Jab main tumse pehli baar mili thi, main nahi jaanti thi ki tum kaun ho ... lekin jab tumhe dekha toh aise laga jaise ... tumhara hi intezaar tha
Pooja Bedi
Main tenu phir milangi ... shayad ek khayal banke tere mann mein jotrangi ... ya tere mathe di lakeer banke khamosh tenu takhti rawangi ... main tenu phir milangi ... kithe, kis tarah, pata nahi ... main tenu phir milangi
Taapsee Pannu
Tum meri zindagi mein ajnabee banke aaye the ... lekin ab tum iske maalik ho
Preity Zinta
Har insaan ko zindagi mein ek baar pyar zaroor karna chahiye ... pyar insaan ko bahut achcha bana deta hai
Om Puri
Pyar mein woh gehrai hai ... jiske samne samundar bhi qatra malum hota hai ... pyar karne waalon ka dil itna bada hota hai ... ki sari kainath bhi uske samne zharra malum hoti hai
Vinod Khanna
Pyar ek imtihaan hai ... aur nateeje se darne waalo ka pyar jhoota hota hai
Meenakshi Sheshadri
Joh pyar karta hai woh jaan leta nahin ... jaan deta hai
Abhishek Bachchan
Jab love ki spelling bhi nahi aati thi ... matlab toh door ki baat thi ... tab se jisse pyar kiya hai aur jab woh haan bol de ... toh jaan bas nikalte nikalte reh jaati thi
Ayushmann Khurrana
Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho ... yeh joh tumhara roop hai, yeh zindagi ki dhoop hai ... chandan se tarsha hai badan, behti hai jis mein ek agan ... yeh shokhiyan, yeh mastiyan, tumko hawaon se mili, zulfein ghataon se mili ... hooton mein kaliyan khil gayi, aankhon ko jheele mil gayi ... chehre mein simti chandni, awaaz mein hai ragini ... sheeshe ke jaisa ang hai, phoolon ke jaisa rang hai, nadiyon ke jaisi chaal hai, kya husn hai, kya haal hai ... yeh jism ki rangeeniyan, jaise hazaaron titliyan, baahon ki yeh golaiyan, aanchal mein yeh parchaiyan ... yeh nagriyan hai khwaab ki, kaise bataon main tumhe haalat dil-e-betaab ki ... kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho
Nana Patekar
Pyar karna, izhaar karna bahut hi aasaan hai ... lekin usko nibhana bahut mushkil
Sohail Khan
Pyar toh mujhe aasani se ho gaya ... lekin usse sabit karne ke liye main kadi mehnat karoonga
Unknown
Mohabbat mein kabhi aisi bhi halat paayi jaati hai ... tabiyat aur ghabrati hai jab behlayi jaati hai
Shammi Kapoor
Tum zara si kam khoobsurat hoti ... toh bhi bahut khoobsurat hoti
Harman Baweja
Woh tujhe mil jayegi ... tere dil ki kali khil jayegi
Mohan Agashe
Tum saans leti ho, toh mera dil dhadakta hai
Chandrachur Singh
Pyar sooch samajh kar nahin kiya jaata ... bas ho jaata hai
Akshaye Khanna
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory