Jab gareeb ka khoon khaulta hai ... toh uske gusse ke sailaab mein daulat ke bade se bade pahad toot jaate hai
Dharmendra
Hum gareeb log hai na khali jeb se gareeb hote hai ... dil se bahut bade hote hai hum log ... magar yeh daulat waale saale dil se gareeb hote hai ... inke paas pyar mohabbat naam ki koi cheez nahi hoti, koi kadar nahi karte uski ... aur agar kadar karte hai toh sirf daulat ki
Kader Khan
Petrol ka bhav badh gaya ... tarkaari ka bhav badh gaya ... tera bhav bhi badh gaya kya?
Mehmood
Paisa woh sabun hai joh badnaami ke har daag ko doh sakta hai
Mohan Joshi
Is duniya mein sabse sachchi daulat hai duayon ki daulat
Darshan Jariwala
Izzat hamare jeevan ka updesh hai ... daulat toh sirf jeene ka sadhan hai
Sui ke is chote se chhed mein se oont jaisa bhari bharkam janwar guzar sakta hai ... magar ishwar ke raj mein daulat ka pujari kabhi nahi ja sakta ... kyun ki wahan daulat ka koi mol nahi
Peet ka bhai kaam nahi aata ... pet ka bachcha kaam nahi aata ... aakhir pallu ka paisa hi kaam aata hai
Kishore Kumar
Paisa aur boyfriend jitna lutaoge ... utna tumhare pass aayenge
Unknown
Main chahta hoon ki is duniya mein sirf ek hi currency ho ... aur uske saare note mere paas ho
Jackie Shroff
Agar kisi ki beti ki izzat ek baar lut jaye ... toh duniya ki sari daulat usse vapas nahi la sakti
Vinod Khanna
Rishta koi paisa nahi hota ... joh haath se nikal jaye toh sambandh toot jaye
Shafi Inamdar
Mujhe Raj Mahal ki zindagi chahiye ... aur kisi Taj Mahal ki maut
Kimi Katkar
Daulat mein bahut vazan hota hai
Amrish Puri
Dhan daulat toh aag ki tarah hoti hai ... insaan chahe toh usse ghar ka chula jala le ... chahe toh uss ghar pe aag laga de
Smita Jaykar
Auraton ke shareer ka sauda karke daulat kamane waale log toh maine dekhe the ... lekin apni maa ka sauda karne waala dalaal maine apni zindagi mein pehli baar dekha hai
Amitabh Bachchan
Main rupaiya ginkar kabhi nahi rakhta
Na joru na jaata, Allah miyah se naata
Bharat Bhushan
Yeh paisa joh hota hai na, yeh sabse bada jantunashak hota hai ... saare jivanu, vishanu, kitanu, sabko nasht kar deta hai
Varun Dhawan
Nature ki baatein na Twitter aur Instagram pe badi achi lagti hai ... lekin asli zindagi mein na, ek hi haryali matter karti hai ... hari patti, paisa
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory