Main chahta hoon ki is duniya mein sirf ek hi currency ho ... aur uske saare note mere paas ho
Jackie Shroff
Agar kisi ki beti ki izzat ek baar lut jaye ... toh duniya ki sari daulat usse vapas nahi la sakti
Vinod Khanna
Rishta koi paisa nahi hota ... joh haath se nikal jaye toh sambandh toot jaye
Shafi Inamdar
Daulat mein bahut vazan hota hai
Amrish Puri
Auraton ke shareer ka sauda karke daulat kamane waale log toh maine dekhe the ... lekin apni maa ka sauda karne waala dalaal maine apni zindagi mein pehli baar dekha hai
Amitabh Bachchan
Main rupaiya ginkar kabhi nahi rakhta
Dharmendra
Insaan ameer ya gareeb na do cheezon se banta hai ... izzat aur paisa ... aur tu woh gareeb hai jiske paas sirf paisa hai
Rajkummar Rao
Udhaar ek chamatkar hota hai ... jisko bhi de do toh gayab ho jaata hai
Saif Ali Khan
Jab koi aam insaan paanch-paanch rupaye jodke sapne bhun raha hota hai ... toh woh is baat se anjaan hota hai, ki kahin koi uske sapno ke sirhon se apna sweater bhun raha hota hai
Neil Nitin Mukesh
Jiske paas paisa nahi hota uski koi izzat nahi karta ... aur jiske paas paisa hota hai woh kisi ki izzat nahi karta
Unknown
Joh khushi apnapan mein hai, usse saari duniya ki daulat bhi nahi khareed sakti
Ladki aur kadki, dono ek saath nahi chal sakti
Sanjeev Kumar
Paison se khidmatgar khareede ja sakte hai, wafadar nahi
Mahesh Manjrekar
Mehangai sirf akele nahi aati hai, bhook ke saath aati hai ... aur bhook kuch bhi karva sakti hai
Asli dhan wohi hai joh apne haath mein ho
Madhoo
Ameeri aur gareebi ke alag alag jazbaat hote hai ... tum khwaab dekhkar unhe zindagi bana sakti ho, ameer ho na ... main sirf khwaab dekh sakta hoon, unhe zindagi nahi bana sakta
Raj Kapoor
Aapki sampati hai dhan daulat, jisse aapne doosron ki mehnat se jama kiya hai ... meri sampati hai ilm, jisse maine apni mehnat se jama kiya hai ... aur hamesha karta rahunga
Lakh kamane ke liye hazar gawane bhi padte hai ... sansaar ka yehi niyam hai
Keshto Mukherjee
Main jin logon se kamata hoon ... pehle unke dil ko tatollta hoon aur bad mein unki jeb ko
Rajendra Nath
Kamana, kharch karna ... aur kamana, aur kharch karna ... bas issi mein zindagi guzar jaati hai ... saaye ke peeche bhaagte rehte hai hum aur zindagi ki asliyat kho behette hai
Vijay Anand
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory