Jis tarah dane dane pe khane waale ka naam likha hota hai ... bilkul ussi tarah har sikke pe paane waale ka naam bhi likha hota hai
Amrish Puri
Apne desh nikle the hum leke lutiya dori ... kaudi kaudi jodi ban gaye Lala aaj karodi
Unknown
Har crorepati apni zindagi ek rupai se shuru karta hai ... aur har bikhari bhi
Jackie Shroff
Main bhi kitna harami hoon, dono taraf dhol bajhata hoon ... udhar se maal kamata hoon, idhar se naam kamata hoon
Shakti Kapoor
Jai Maa Durga, pakad ke laya hoon murga ... jaldi se isko kaato aur maal apas mein baanto
Dil tootne ka ek side effect yeh bhi hota hai ... ki bill bhi choot jaate hai
Vir Das
Haram ka paisa jab aata hai na ... toh insaan harami ban jata hai
Mukesh Tiwari
Kismat hamare saath hai, uske haathon mein apna haath hai, chand chakori ki mulaqat hai, premi ko mili daulat ki saugat hai, lekin is baat mein bhi ek baat hai, shaadi ke baad main aapse poochunga daddy ... aapki kya aukaat hai?
Prem Chopra
Humse poocho ki haqeeqat kya hai ... tum jisse apni mohabbat de do, usko daulat ki zaroorat kya hai
Deven Verma
Ek middle class aadmi kabhi paise nahi kamata ... sirf izzat kamata hai
Main woh khota sikka hoon ... joh dikhne mein toh ek anni hai lekin chalne mein rupaiya hai
Rajesh Puri
Hamare mulk mein ek aadmi ko dus rupaiya ko gyarah rupaiya banane mein zindagi khap jaati hai ... lekin dus lakh ko gyarah lakh banana baayen haath ka khel hai
Vinod Mehra
Dil aur daulat ka mel kabhi nahi hota hai
Nadira
Dhobi ki dhulai, darzi ki silai, Roopraja ki padai, us par itni mehangai ... aur sirf do sau ki kamai ... duhai hai duhai
Auron se poora fees leta hoon ... magar tum se pachas ki jagah tees leta hoon
Johnny Lever
Sharifon ki izzat paison se zyada keemti hoti hai
Kunika
Sharaab aur daulat in do cheezon ka nasha aaisa hi hota hai ... ki jisse insaan gir hi jaata hai
Aam aadmi ko maarne ki zaroorat nahi padti ... us par paise ka thoda extra bhoj daal do ... khud ba khud marr jayega
Mere paas woh kuch bhi nahi joh aapke paas hai ... lekin itna paisa hai ki ek mangalsutra khareed sakta hoon ... itni taqat hai ki kamakar khila sakta hoon ... aur itni mardangi hai ki bachche pehda karke aapko nani bana sakta hoon
Anil Kapoor
Jahan paisa lagta hai wahan sirf ek hi maqsad hona chahiye ... paisa banana
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory