Pyar ki taqat daulat ki taqat se oonchi hoti hai
Anil Kapoor
Aasaan kishton par paise dene waale log ... kal maut bhi aasaan kishton par denge
Unknown
Dil daulat se zyada taqatwar hota hai
Joh mere haq ka paisa hai woh charana ho ya aathana ... woh saatve aasmaan par ho ya saat samandar paar ho ... Pushpa ka usool karne ka vasool
Allu Arjun
Politics bahut kuch deti hai ... paise, power, position, pehchaan ... magar bahut kuch le bhi leti hai ... aur issi lein dein mein insaan kabhi kabhi bahut door nikal jaata hai ... kabhi khud se aur kabhi apno se
Kangana Ranaut
Hum Gujarati patthar pe pair maare na ... toh Porbandar se pound are Dakor se dollar nikaal sakte hai
Paresh Rawal
Gareebon ka khoon jab saanche mein dhalta hai toh yeh sikka banta hai ... aur jab yeh sikka bazar mein tulta hai ... toh kisi gareeb ke bhai ko kitaabein milti hai, college milta hai ... aane waale sunhere kal ki umeedein milti hai
Mithun Chakraborty
Hindustani businessman ki ek bahut badi khoobi hai ... woh kam se kam paisa dekar achche se achcha result maangta hai
Raj Babbar
Joh log apna pasina bahakar desh ka muqadar banate hai ... unke bachche toh rotiyon ke liye taraste hai ... aur tum log joh kursiyon par behetkar desh ke muqadar ka faisla karte ho ... apne aulad ki shaadiyon mein karodon rupai lutate ho ... kahan se aati hai daulat?
Amitabh Bachchan
Kiya aaj maine akalmandi ka kaam ... ticket lottery ka liya aur paya inaam ... sunke tum log hoge khushi se naach ... inaam mein mile mujhe rupai paanch
Amjad Khan
Maine is duniya mein bahut saare logon ko daulat aa jaane ke baad apna ghar badalte dekha hai, halaat badalte dekha hai, kapde badalte dekha hai ... maa baap badalte kisi ko nahi dekha hai
Kader Khan
Jis aurat ka pesha hi kahi mardon ka dil lubhana hai ... woh zindagi mein jitna chahe dhan kama le ... izzat kabhi nahi kama sakti
Govinda
Yeh kanoon ke woh baap hai joh apni duty ko apni gaud mein jhula jhulakar, usse pyari pyari lori sunakar sula dete hai ... aur aapke noton ka pankha banakar usse thandi thandi hawa dete hai
Shakti Kapoor
Daulat ka nasha bhang se zyada tezz hota hai
Is duniya mein sabse taqatwar bhagwan paisa hai paisa ... chahe jitna bada gunaah karlo, jurm karlo ... noton ki chaddar mein sab kuch dhak jaata hai
Shafi Inamdar
Planning aur paise ke bina ... koi bhi kranti aage nahi badh sakti
Kal tak main supari leta tha doosro ko khatam karne ke liye ... lekin aaj maine apne aap ko supari di hai tujhe khatam karne ke liye
Mukesh Rishi
Duniya mein har insaan ko do cheez ki bhook hoti hai ... ek daulat ki aur doosri mohabbat ki
Pran
Mohabbat aur chahat heere aur sone ki mohtaj nahi hote ... do dilon ka milan hi sabse badi daulat hoti hai
Farha Naaz
Taash ki gaddi bhale hi bees rupaye ki ho ... lekin uspar jua karodon ka kehla jaata hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory