Jung aur mohabbat mein hamesha do kadam aage badate hai aur ek kadam peeche hatate hai ... taaki hamesha ek kadam aage rahe
Raj Babbar
Sapne dekhna bhi zaroori hota hai ... insaan ne chaand par kadam bad mein rakha tha ... chaand par pahunchne ka sapna pehle dekha tha
Unknown
Kisi insaan ka yun khatam hona achcha nahi ... khatam toh honi chahiye uski burai, uska chotapan, uski khudgarzi
Dilip Kumar
Ek achche aadmi ki pehchan hoti hai uske ghun ... hamare shaastron mein bhi paanch saat ghun maane gaye hai ... daya, dharam, prem, tyaag aur shama
Prem Chopra
Aadmi ko apni haisiyat ke andar rehna chahiye ... doosron ki daya par jeene ko jeena nahi kehte
Amrish Puri
Zulm aur anyay ke khilaaf pehle hamesha ek hi awaaz uthti hai, ek hi haath uthta hai ... aur phir dheere dheere sarfaroshon ka caravan tayaar ho jaata hai
Shatrughan Sinha
Lehron se darne waale kinare reh jaate hai ... aur sagar mein faandne waale moti le aate hai
Zindagi ek khoobsurat khilona hai ... isse darna nahi, khelna seekho
Joh aaj naya hai, kal purana ho jayega ... joh aaj purana hai, kal naya bankar samne aayega
Prithviraj Kapoor
Ek aur ek do nahi ... gyarah hote hai
Anita Kanwar
Zulm ki talwar jab bhi mayaan se bahar nikalti hai ... toh pehla khoon insaaniyat ka behta hai ... fasaad ki aag jahan bhi lagti hai ... usmein saare ghar begunahon ke jalte hai ... khoon ki Holi khelte toh hai dushman ... lekin rang mazloomon ke lahu ka bahaya jaata hai
Parikshat Sahni
Sangeet hridhay se hridhay ka sambandhit hota hai ... atma ko ooncha uthata hai ... bhair ko prem mein badal deta hai
Prem ki sabse badi kushalta yeh hai ... ki is mein lene waala bhi kuch deta hai aur dene waala bhi kuch paata hai
Paresh Rawal
Apne andar ke darr ko khatam kardo ... toh sab kuch aasaan ho jaata hai
Koel Purie
Agar aap log yeh chahte hai ... ki aap logon ki khuddi ko mittane ke liye agar gundon ki khudai bhi aa jaye aur mitta na sake ... toh aap logon ko khuddar banna padega
Govinda
Sapne unhi ke sach hote hai ... joh apni bhalai ke saath doosro ka bhi bhala chahein
Duniya ko kuch dene ki shakti sirf achchai mein hai ... kyun ki burai sirf cheenna aur lootna jaanti hai
Kabhi kabhi do kahaniyan judh jaati hai aur ek nayi kahani banti hai ... aur kabhi ek hi kahani mein kahi choti choti kahaniyan chupi hoti hai ... lekin badi ho ya choti ... har kahani mein kahi chote chote modh, pal aur maiyne hote hai ... aur inhi se har kahani judhti hai, mudti hai, banti hai aur badti hai
Fardeen Khan
Darr ke aage jeet hai
Zayed Khan
Ek insaan ko koi haq nahi ki doosre insaan ko sazaa de ... yeh ishwar ka kaam hai
Satyendra Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory