If you want to be what you want to be ... be what you want to be ... and to be what you want to be ... believe what you want to be
Jackie Shroff
Galat ko galat na kehna ... sabse badi galati hai
Sunil Shetty
Zindagi ke safar mein ek aaisa muqaam bhi aata hai ... jab insaan kuch kho ke bahut kuch paata hai
Unknown
Ekta ne jab jab khoon bahaya hai ... tab tab kranti aayi hai
Jhoot ke kaale badal suraj ko kitna bhi dhak le ... ek din ujaala hokar hi rahega
Hum zindagi se naraaz ho jaye toh zindagi ko toh kuch bhi farak nahi padta ... woh toh chalti hi rahegi ... hum mein zindagi se kuch khushiyan churani hai
Suman Ranganathan
Talwar zulm karne ke liye bhi uthti hai aur zulm rokne ke liye bhi ... joh zulm rokne ke liye talwar ko uthta hai wohi bada kaam karta hai
Prem Nath
Agar ichcha mein bal ho toh woh azaad hoti hai ... aur shakti bhi azaadi se aati hai, bandish se nahi
Zeenat Aman
Gunde toh ungliyon par ginne ja sakte hai, phir bhi yeh gunde hum karodon par raj karte hai ... kyun? ... sirf is liye ki hum mein se har insaan yeh sochta hai ki woh akela kya kare ... woh yeh kyun nahi sochta ki hum sab milkar kya nahi kar sakte
Anil Kapoor
Insaan apni umar se, apne aaude se chota bada ho sakta hai ... lekin haqeeqat mein insaan apni bahaduri se, apne kaam se chota bada hota hai
Deven Verma
Joh marr jaate hai woh sitare ban jaate hai ... taaki unke bachche unko roz dekh sake
Zindagi subah ki dhoop ki tarah phailti hai ... joh kal andhere mein tha woh tumhe aaj dikhai dene laga ... joh aaj ka andhera hai woh kal ki roshni ke saath door ho jayega
Sushma Seth
Accomplishment and success often is a result of perseverance and commitment ... rather than skill and talent
Aashish Chaudhary
Doosron ki madad karne mein joh fayda hai ... woh apni madad karne mein ho hi nahi sakta
Jisse jitni door jaana hota hai ... safar utni hi jaldi shuru karna padta hai
Ayesha Takia
Pedh, nadi aur dharti se bada koi daani nahi ... aur foren joh apni bhool sudhaar le usse bada koi gyani nahi
Kader Khan
All good things have to come to an end ... for better things
Kabhi kabhi bina kisi ko pasand kiye hum mein unhe help karna chahiye ... kyun ki yahi sahi tarika hai
Saif Ali Khan
Utho, muqabla karo aur jeeto ... jeetne ke liye tumhe na kisi ijazat ki zaroorat hai, na kisi sifarish ki
Asrani
Apun thopde pe makeup lagakar sab barobar kar sakta hai ... lekin andar ke insaan ko makeup kabhi nahi lagta hai
Sanjay Dutt
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory