Hum sab ki zindagi mein thode se aasoon likhe hai ... unhe mitaane ke liye hum mein chahiye thodi si madad, thoda sa pyar, thoda sa magic
Rishi Kapoor
Gham ka ilaaj gham se nahi ... balki himmat se hota hai
Mumtaz
Joh dil ki rah par chalta hai ... woh duniya badal sakta hai
Uday Chopra
Jako rakhe saiyan, maar sake na koi ... baal na baka kar sake, joh jag bairi hoye
Dara Singh
Woh khudgarz joh jung chahte hai unka kuch nahi jaata ... tabah toh woh log hote hai ... jinki subah roti ki talash mein shuru hoti hai aur raat thakaan ke bistar par
Amitabh Bachchan
Joh pehli saans lene ki choot deta hai ... wohi aakhri saans par rok laga sakta hai
Rekha
Vishwa mein unhi atmaon ko puja jaata hai ... joh shanti ke marg par chalte hai
Alok Nath
Jab hum kisi cheez ko bahut, bahut, bahut, bahut, bahut chahte hai na ... toh woh mil hi jaati hai
Dhanush
Denhar koi aur hai, devat hai din rain ... log bharam humpe kare, aasoon neeche nain
Tusshar Kapoor
Life mein paise kamane ke alava kuch daan punya ka bhi kaam kiya karo ... aatma ke liye acha hota hai
Isha Koppikar
Shola ya shabnam, naa toh hai hi ... koshish karke dekh le ... shayad haan ho jaye
Ritesh Deshmukh
Dukh ke baad sukh hi aata hai aur raat ke baad savera
Chunky Pandey
God great nahi hai ... woh great hai apne manne waalon se, apne chahne waalon se
Is sansar mein koi kisi ka malik nahi aur koi kisi ka naukar nahi ... sabka malik ek hai woh upar waala ... hum sab ussi ke naukar hai
Govinda
Sapne toh sabi dekhte hai ... lekin sirf wohi sapna sakaar hota hai ... joh lakh samjhane par bhi insaan bhulana nahi chahta
Aamir Khan
Mere paas apne baap dada ki daulat ki nahi ek pai hai, aur nahi mujhe chahiye ... mere paas agar kuch hai toh apni maa ka diya hua aashirwaad
Mann ke jeete jeet hai, mann ke haare haar ... haar gaye joh bin lade, un par hai dhikaar ... un par hai dhikaar joh dekhe na sapna ... sapno ka adhikaar asal adhikaar hai apna ... apno ki khatir karna kuch aaj humein ... ajar, amar kar dena hai swaraj humein ... tu maati ka laal hai, koi kankad ya dhool nahi ... tu samma badal ke rakh dega, itihaas likhega bhool nahi ... tu bhor ka pehla taara hai ... partivartan ka ek naara hai ... yeh andhkaar kuch pal ka hai ... phir sab kuch tumhara hai
Vicky Kaushal
Joh insaan apni zid ko iraade mein badal de ... us insaan ko apni manzil tak pahunchne se koi nahi rok sakta
Himesh Reshammiya
Mann ke haare haar hai ... aur mann ke jeete jeet
Dalip Tahil
Jinse nafrat hai unse pyar karna seekho ... magar unse nafrat mat karo joh tumhe pyar karte ho
Unknown
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory