Kalakar banne ki chah ko bahar agar hai lana ... toh sheeshey ko thodi takleef dijiye aur dil ko ek bahana
Madhuri Dixit
Life at sixty end nahi hoti ... start hoti hai
Rishi Kapoor
Choti choti chitrayi yaadein, bichhi hui hai lamho ki lawn pe ... nange pair unpar chalte chalte itni door aa gaye hai ... ki ab bhool gaye hai joote kahaan utare the ... edi komal thi jab aaye the, thodi si nazuk hai abhi bhi aur nazuk hi rahegi ... in khatti meethi yaadon ki shararat jab tak inhe gudgudati rahe ... sach bhool gaye hai joote kahan utaare the ... par lagta hai ki ab unki zaroorat nahi
Unknown
Izzat koi patni ko diya hua koi necklace nahi hai, college mein diya hua koi certificate nahi hai, locker mein chupakar rakhi koi jewellery nahi hai ... joh gava dene se chali jaati hai
Anil Kapoor
Kismat hatheli mein nahi ... insaan ke baazuon mein hoti hai
Balraj Sahni
Machli toh jal mein rahe, phir bhi baas na jaye ... naaho dho kuch karo, satsang mail mitaye
Sanjeev Kumar
Joh pehli saans lene ki choot deta hai ... wohi aakhri saans par rok laga sakta hai
Rekha
Koi bhi mission mera ya tumhara nahi ... desh ka hota hai
Nassar
Pani ka jahaaz sabse zyada safe samundar ke kinare hota hai ... lekin jahaaz kinare khade rehne ke liye nahi ... lehron se joojne ke liye banta hai
Yami Gautam
Jab uparwaala aapse kuch cheez vapas leta hai toh aapke dono haath khali kar deta hai ... taki aapko kuch behtar de sake
Jab hum kisi cheez ko bahut, bahut, bahut, bahut, bahut chahte hai na ... toh woh mil hi jaati hai
Dhanush
Denhar koi aur hai, devat hai din rain ... log bharam humpe kare, aasoon neeche nain
Tusshar Kapoor
Dushmani ko khareedne kahi jana nahi padta ... aur dosti kisi bhi keemat pe nahi milti
Raj Kapoor
Shola ya shabnam, naa toh hai hi ... koshish karke dekh le ... shayad haan ho jaye
Ritesh Deshmukh
Tinka bhi ussi doobne waale ko sahara deta hai ... joh us tak pahunchne ka sahas rakhta hai
Har chah ko intezaar hai tumhara, bas maangne ki derr hai ... chah bhi chahti hai tumhe, bas paane ki derr hai
Aditi Rao Hydari
Joh insaan apni zid ko iraade mein badal de ... us insaan ko apni manzil tak pahunchne se koi nahi rok sakta
Himesh Reshammiya
Jinse nafrat hai unse pyar karna seekho ... magar unse nafrat mat karo joh tumhe pyar karte ho
Joh log maaf kar dete hai na woh kabhi udhas nahi hote
Govinda
Ameeron ne toh joh kuch bhi banaya hai woh rishvat ya rishvat ke balbute par banaya hai ... koi dus rupaiya mein vote khareed leta hai ... sau rupaiya mein koi apni arzi pass karva leta hai ... hazar rupaiya dekar koi apna imteham pass kar leta hai ... lakhon rupaiya dekar yeh log apna tender pass karva lete hai ... arre main toh kehta hoon sabse pehle in rishvatkhoron ko fail karo ... tab ja karke yeh mulk pass hoga
Amitabh Bachchan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory