Filmy Quotes
Dialogues, Lyrics & More

Home

Movies

Stars

Singles

Categories

Roles

Evergreen

Quiz

Support

Sone Pe Suhaaga

Release Year - 1988
# 1
Har insaan apne karmon se pehchana jaata hai ... apne baap ke karmon se nahi
Every person is known by his own deeds ... not by his father's deeds
# 2
Joh kam bolte hai, woh aksar khatarnak hote hai ... is liye chalak aadmi ko khamosh dushman se hamesha hoshiyar rehna chahiye
People who speak less, usually are dangerous ... that's why a smart person should always be careful of a silent enemy
# 3
Bhagwan ke prem aur vishvas ka ek hi saboot hai duniya mein ... joh maa ke dil mein mamta bankar palta rehta hai
There is only one proof of god's love and faith in this world ... which grows in the heart of a mother as motherly love
# 4
Baazuon ki taqat toh uparwale ki den hai
The strength in the arms is god's gift
# 5
Aasoon gareeb ki dil ki tijori se nikalne waale keemti moti hote hai
Tears are the precious pearls that come out from the vault of the heart of the poor
# 6
Pehle khoon ke baad aadmi kanoon se darta hai ... lekin do-char khoon karne ke baad kanoon aadmi se darta hai
A person is scared from the law after his first murder ... but after two-four murders the law gets scared from that person
# 7
Izzat toh daulat walon ki hoti hai ... bhikhariyon ki toh izzat ko bhi duniya nafrat ki nazar se dekhti hai
Rich people get respect ... whereas the world sees even the respect for beggars with an eye of hatred
# 8
Naam lene se umar lambi nahi hoti ... umar lambi hoti hai mehnat se, mushaqat se
Life gets longer by hard work, by toiling ... not by calling out a name
Copyright © FilmyQuotes.com