Sapne dekhna achchi baat hai ... par kahi baar unke peeche daudte daudte na apne peeche choot jaate hai
Anushka Sharma
Main sapne nahi dekhta ... khud ek bura sapna hoon
Sunny Deol
Tumhare bagair jeena kya ... jeene ka khwab bhi nahin dekh sakta
Aamir Khan
Tu nikal apne sapne ke peeche ... aur jidhar bhi palatkar dekhegi na ... apan khada milega tere peeche
Ritesh Deshmukh
Hamare sapno ka saathi aur hamara jeevan saathi ... kabhi ek nahi hota
Unknown
Main nahi badalta apna sapna apne sachai se mel khane ke vaaste ... main apna sachai badlega joh mere sapne se mel khaye
Ranveer Singh
Sapne jab tootte hai ... unki goonj ka asar bahut gehra hota hai
Priyanka Chopra
Jinke apne khud ke sapne nahi hote ... unki poori life auron ke sapne poore karne mein lag jaati hai ... issi liye life mein apna sapna khud chhuno ... aur usse khuli aankhon se dekho ... taaki jab woh sach ho toh sabse pehle woh tumhe dikhe
Tiger Shroff
Haadsa banke koi khwaab bhikar jaye toh kya ho ... waqt jazbaat ko tabdeel nahi kar sakta ... door ho jaane se ehsaas nahi mar sakta ... yeh mohabbat hai dilon ka rishta ... aaisa rishta joh zameenon ki tarah sarhadon mein kabhi taqseem nahi ho sakta ... tu kisi aur ki raaton ka haseen chand sahi ... meri duniya ke har rang mein shamil tu hai ... tujhse roshan hai mere khwaab, meri umeedein ... main kisi raah se guzron, meri manzil tu hai
Amitabh Bachchan
Sab apni soochte hai, sabko dhyan hai apna ... yahi hai rang toh poora na hoga ek sapna
Pran
Kuch banne ke liye sapne dekhna zaroori hota hai
Emraan Hashmi
Meri aankhon se mere khwab na cheeniye Shehzaade ... main marr jaongi
Madhubala
Sapne wahi dekhna jinki ijaazat ho ... warna taqleef hoti hai
Uttara Baokar
Joh sapne dikhata hai woh sapno ko sach karne ki taqat bhi deta hai ... joh pyar karna sikhata hai woh pyar ko zinda rakhne ki himmat bhi deta hai
Aditya Narayan
Tumne mujhe zindagi ke woh haseen khwab kyun dikhaye ... jiske tootne par mere andhar ka insaan hi toot gaya
Sunil Shetty
Aadmi ka sapna toot jaata hai na, toh aadmi khatam ho jaata hai
Irrfan Khan
Bheej bowte hi phal khane ke sapne nahi dekhne chahiye ... kabhi kabhi pedh nahi bhi ughte hai
Jab koi doosra banda aake sapna todta hai na ... toh banda sambhal jaata hai, koi problem nahi hoti ... par jab tu khud saare sapne todega na apne ... aadmi mar jaata hai andar se
Lakhon karodon sapno mein kabhi kabhi ek sapna sach bhi hota hai ... aur us sapne ko sach karne ke liye mehnat aur vishvas chahiye ... kyun ki zindagi kabhi na kabhi hum mein chance deti hai
Genelia D'Souza
Har insaan sapne dekhta hai ... lekin sapne mein hichki aa jaye na ... toh sapna toot jaata hai
Vidya Balan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory