Jab koi doosra banda aake sapna todta hai na ... toh banda sambhal jaata hai, koi problem nahi hoti ... par jab tu khud saare sapne todega na apne ... aadmi mar jaata hai andar se
Unknown
Lakhon karodon sapno mein kabhi kabhi ek sapna sach bhi hota hai ... aur us sapne ko sach karne ke liye mehnat aur vishvas chahiye ... kyun ki zindagi kabhi na kabhi hum mein chance deti hai
Genelia D'Souza
Meri shaadi mere sapne se ho chuki hai
Shahrukh Khan
Follow your heart for there is magic in your dreams ... if you believe them they will come true
Katrina Kaif
Waada karo ki aaj raat tum mere khwaabon mein zaroor aaoge
Kajol
Yeh sab ek sapna hai jis mein tum ho, main hoon aur koi nahi ... yeh woh waqt hai jispe sirf tumhara haq hai, mera bhi nahi
Karan Singh Grover
Woh wahi hai joh kabhi kabhi mere khayalon mein aata hai ... jise soochkar hi muskurane ka mann karta hai ... jiski awaaz meri har saans pehchaanti hai ... dil ko ussi ka intezaar hai ... jise meri tarah pyar se pyar hai
Esha Deol
Sapne dekhna aur sapno ka pura ho jaana ... bahut alag baatein hai
Kangana Ranaut
Sapne bhi samundar ki leharon ki tarah ... haqeeqat ki chattanon se takraate hi toot jaate hain
Amitabh Bachchan
Sapno ki ek khasiyat hai ... sapne kabhi marne nahi dete
Ab toh meri zindagi ka maqsad hi yahi hai ... ki main itna kaabil ban sakoon ... ke tumhare har sapne ko poora kar paun
Hrithik Roshan
Band aankhon se insaan sirf sapna hi nahi ... kabhi kabhi us haqeeqat ko bhi dekh leta hai ... jisse khuli aankhen kabhi nahi dekh paati
Ajay Devgan
Woh toh meri saanson mein hai, meri dhadkanon mein hai, meri aankhon mein hai, mere khwabon mein hai ... sach toh yeh hai ke mera dil unke paas hai aur unka dil mere paas
Sushmita Sen
Yeh joh pyar mohabbat preet hai, sab jhoot fareb ki reet hai ... kisi andhe insaan ka sapna hai, ek goonge ka geet hai ... yeh joh pyar mohabbat preet hai, sab jhoot fareb ki reet hai
Omi Vaidya
Maine unke sapnon ko dhuan hote dekha hai, waqt se pehle umar ko dhalte dekha hai, dukhte hue dard ko dekha hai ... lekin kabhi himmat haarte nahi dekha
Ek khwaab ne aankhen kholi hai ... kya modh aaya hai kahani mein ... woh bheeg rahi hai baarish mein ... aur aag lagi hai paani mein
Kehte hai sapne mein kisi ko mara hua dekho ... toh uski umar badh jaati hai
Moon Moon Sen
Postcard shot hai tumhari aankhen ... perfect ... khwaab dikha deti hai logon ko ... joh bhi inhe dekhta hai apne aap ko dhoondta hai in mein
Saif Ali Khan
Tum sach ko sapna samajhke bhula dena chahti ho ... lekin main us sapne ko sach karna chahta hoon
Aftab Shivdasani
Yeh woh lamhe hai jin mein maine tumhari saanson ko chua hai ... jin mein maine ek bahut haseen sa khwaab dekha hai ... yeh lamhe kabhi guzar nahi sakte
Arjun Rampal
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory