Agar vakai power ki khwaish ho ... toh dil ke maamlo ko door rakhna chahiye ... aade aate hai
Vipin Sharma
Bache toh mitti ke khilone hote hai ... kaske pakdo na toh toot jaate hai
Tanvi Azmi
Hamare bhoot ka koi bhavishya nahi hota ... lekin woh bhoot hamare vartamaan mein zinda rehta hai
Nana Patekar
Kisi ka dost, kisi ka raazdaar, kisi ka humdard ... duniya mein har koi kisi na kisi ka kuch hota hi hai
Samaaj mein rehke samaaj se bair nahi kiya ja sakta
Vyjayanthimala
Kya cheez hai yeh aansun bhi ... aaisa lagta hai jaise barson ka bhukhaar joh mann mein bhara hua tha ... in do qatre aansuyon mein behke nikal gaya
Kader Khan
Jis din kisi ghar ki deewaron ke kaan nikal aate hai ... us din us ghar ki buniyaad mein dimak lag jaati hai
Pran
Yeh aag hoti hi aaisi hai ... sab kuch jala deti hai ... fark bas itna hai ki kahin dikhai deti hai aur kahin nahi dikhai deti
Namrata Shirodkar
Bebas mohabbat jab baghavat karti hai ... toh duniya ki koi bhi taqat usse rok nahi sakti ... chahe woh aag ka dariya ho ya toofan ka samundar
Mithun Chakraborty
Pehle uska sign leke aao jisne mere haath mein yeh likha hai ki ... meri maa ek tawaif hai
Raima Sen
Film line ki yahi reet hai ... naam aur shohrat milte bhale hi der lag jaaye ... naam aur nishaan mitate der nahi lagti
Unknown
Maangne waala maangkar dene waale ko maan hi toh deta hai
Rajesh Khanna
Aansoon mitkar bhi kahan mittate ... phail jaate hai kabhi dhood bankar ... ubhar aate hai kabhi khoon bankar ... aur yahi khoon jab aankhon mein utar aata hai toh aansuyon ki barsaat ho jaati hai
Suresh Oberoi
Jazbaat ki chhot aur dil ka ghaav bahut gehra hota hai ... bahut dard hota hai us mein
Hamara khoon ka rishta zaroor hai ... magar ab nibhane ka nahi ... sirf khoon bahane ka rishta reh gaya hai
Sapru
Koi kisi ko dokha nahi deta ... sirf halaat hote hai
Shiney Ahuja
Har aakhri shabd ke baad ek full stop hota hai ... aur woh full stop hum hai
Raaj Kumar
Jinke haath na ho woh aatma se aashirwad dete hai
Dharmendra
Zindagi bhi ajeeb hai ... koi kisi ke itna kareeb hote huye bhi kabhi kabhi kitna door nazar aane lagta hai
Parikshat Sahni
Aadmi chahe kitna bhi sangdil ho ... lekin uske andar ka insaan ekdum mar nahi jaata ... purani yaadein uska peecha nahi chhodti
Madan Puri
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory