Sache pyar ke beech kabhi mat aana ... kyun ki uski jeet hokar hi rehti hai
Ketki Dave
Bhuvan Panda gardan katwana pasand karta hai ... magar naak katwana asambhav
Mithun Chakraborty
Uljhe dhaagon ka sera toh mil jaata hai ... lekin uljhi zindagi ka sera badi mushkil se milta hai
Leena Chandavarkar
Apne dard ko bhoolkar jab aap unka dard samjhenge ... tabhi aap unke dil jeet sakenge
Rani Mukherjee
Zindagi mein kuch cheezein haasil karne ke liye sahi ya galat dekh ke nahi ki jaati ... balki waqt aur halaat dekh ke ki jaati hai
Anupam Kher
Jhoot ek vaishaya ki tarah hai ... jisse lakh parde mein rakho, magar uski asliyat nahi chupti
Gulshan Grover
Pyar paane ke liye koi bhi tareeka najayaz nahi hai
Ashok Kumar
Ek middle class aadmi kabhi paise nahi kamata ... sirf izzat kamata hai
Unknown
Main jis raaste se tumhari taraf aane ki koshish karta hoon ... tum us raaste ko mitta dena chahti ho ... tumhara yeh bartav sari duniya se kaatkar tumhe alag kar dega, bilkul alag ... na koi tumhari taraf aayega, aur na hi kal tum meri taraf aaneka raasta pehchaan sakogi
Rajesh Khanna
Ab toh mere liye waqt tehar gaya hai re, zindagi tehar gayi hai ... ab toh sirf saans ke tehar jaane ka intezar hai
Shreeram Lagoo
Patthar ka daag mitt jaata hai ... lekin dil par laga hua daag nahi mitta
Ek baar, sirf ek baar unke chehre mere samne saaf ho jaye ... main unka woh hashar karoonga ki woh duayen maangenge zindagi ke liye nahi ... maut ke liye
Sunil Shetty
Desires, dreams, khwaab, hasratein banayi hai bhagwan ne ... par duniya mein kaise jeena hai banaya hai samaaj ne, insaan ne
Joh log darte hai na, unse main bahut darti hoon
Esha Deol
Aadmi kitni hi oonchai par kyun na pahunch jaye ... aakash mein ghar nahi bana sakta ... usse sukoon is dharti ki gaud mein hi milta hai
Paap ka ghinauna rang main teri aankhon mein dekh raha hoon ... yeh rang maut ka elaan hai ... tu hi nahi, tujh jaise har paapi ka anth ab bahut hi nazdeek hai
Ek aurat apne pati ki gareebi mein khush reh sakti hai ... uske aeb seh sakti hai ... lekin uski kayarta nahi seh sakti
Mohabbat kisi ke kehne se nahi ki jaati aur na kisi ke hukum se todi ja sakti hai
Vyjayanthimala
Aadmi ko apni haisiyat ke andar rehna chahiye ... doosron ki daya par jeene ko jeena nahi kehte
Amrish Puri
Bhookha rehkar aadmi ek baar marta hai ... lekin udhaar ki roti khakar baar baar marta hai ... hazaar baar marta hai
Jeetendra
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory