Nange halaat ko alfaazo ki poshaak se dhakne ki koshish mat karo
Tina Munim
Kanoon saale ka kaam jurm ko mitana hota hai ... logon ko nahi
Amitabh Bachchan
Jeevan ke saath itna prem na karo ... varna marte samay bahut dukh hoga
Pran
Jeena usse kehte hai ... jisse kisi doosre ko zindagi mile
Sarika
Gunaah karne ke baad ... aadmi chota aur gunaah ka saaya lamba hota jaata hai
Unknown
Teri zabaan se shadb nahi ... tere zakhm tapak rahe hai ... teri aankhon se aasoon nahi ... inhi zakhmon ka khoon beh raha hai
Aapke mahenge suit se mahenge ittar ki khusboo aa rahi hai ... magar uske andhar chupe aadmi se paise ki badbu aa rahi hai
Parikshat Sahni
Haq jamane waale se bada hota hai ... farz nibhane waala
Kulbhushan Kharbanda
Joh apne upar yakeen nahi karte ... log unpar yakeen nahi karte
Kabir Bedi
Halaat insaan ko shaitaan bana deta hai ... magar devta nahi
Sunil Shetty
Yeh khoobsurat rishteydari ke peeche ... makkari aur chaalbazi ke sivah kuch nahi hota
Mithun Chakraborty
Guzra hua waqt aur guzra hua aadmi ... doobara wapas laut kar nahi aate
Ravi Kishan
Joh bikta nahi ... woh mere samne tikta nahi
Raghuvaran
Maa aur bete ke beech mein karz nahi ... farz hota hai
Aruna Irani
Rishtey toh parindon ki tarah hote hai ... kab udh jaye, kya bharosa
Main suraj ko bhi raat ko nikalne par majboor kar doonga
Jaldi ka kaam shaitan ka hota hai
Teri aankhon mein dahekte angaaron ki saugand maa ... main tera har vachan poora karke rahoonga
Dharmendra
Maarne waale ka haath pakad sakte hai ... bolne waale ki zubaan nahin
Sharafat ki chaddar oodne ke liye shareer nahin ... ek sharif atma chahiye
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory